kar ke KHarab ishq ko kya koi kaam aur hai
kar ke ḳharāb 'ishq ko kyā koī kaam aur hai
baa'd nigāh-e-mast ke laġhzish-e-gām aur hai
hashr-o-bahisht meñ bhī ḳhair vaqfa-e-chand aah aur
varna abhī to 'ishq ko zauq-e-ḳhirām aur hai
nāz-o-niyāz se alag hijr-o-visāl se buland
un kī harīm-e-ḳhās meñ merā maqām aur hai
qahr na kar tamām abhī baat hai nā-tamām abhī
baa'd salām-e-shauq ke 'uzr-e-salām aur hai
ai ki tirī nigāh ne dil ko mire kiyā ḳharāb
aa ki dil-e-ḳharāb meñ ik tirā naam aur hai
khoiye mudda'ā kahāñ pā.iye mudda'ā kahāñ
shān-e-nigāh aur hai tarz-e-kalām aur hai
zāhid-e-pāk-bāz huuñ 'maikash'-e-mai-navāz huuñ
'ishq ke har maqām meñ merā payām aur hai
kar ke KHarab 'ishq ko kya koi kaam aur hai
ba'd nigah-e-mast ke laghzish-e-gam aur hai
hashr-o-bahisht mein bhi KHair waqfa-e-chand aah aur
warna abhi to 'ishq ko zauq-e-KHiram aur hai
naz-o-niyaz se alag hijr-o-visal se buland
un ki harim-e-KHas mein mera maqam aur hai
qahr na kar tamam abhi baat hai na-tamam abhi
ba'd salam-e-shauq ke 'uzr-e-salam aur hai
ai ki teri nigah ne dil ko mere kiya KHarab
aa ki dil-e-KHarab mein ek tera nam aur hai
khoiye mudda'a kahan paiye mudda'a kahan
shan-e-nigah aur hai tarz-e-kalam aur hai
zahid-e-pak-baz hun 'maikash'-e-mai-nawaz hun
'ishq ke har maqam mein mera payam aur hai
- Book : Intikhab-e-Kalaam-e-Maikash (Pg. 109)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.