kare ranjur dil ko kyun na chashm-e-yar ka saya
kare ranjūr dil ko kyuuñ na chashm-e-yār kā saayā
vo kyā achchhā rahe jis par paḌe bīmār kā saayā
qusūr-e-fahm hai samjhe use gar ḳhaar kā saayā
paḌā lailā tire majnūñ ke jism-e-zār kā saayā
dilā sarv-e-chaman kyā hai qad-e-dildār kā saayā
ki sumbul bhī hai us kī zulf-e-ambar yaar kā saayā
mazār-e-kohkan par shāmiyāne kī kyā hājat
sadā rahtā hai us par dāman-e-kohsār kā saayā
karūñ maiñ kyuuñ na ai dil sūra-e-jinn paḌh ke dam tujh par
ki tujh ko ho gayā hai us parī-ruḳhsār kā saayā
siyah-kāroñ pe hai nāzil hamesha rahmat-e-bārī
ba-farq-e-mai-kashāñ hai abr-e-dariyā-bār kā saayā
samajh kar saañp us ko vo gale se mere aa lipTā
jo shab bistar pe dekhā gul-badan ne haar kā saayā
havas ḳhema-nashīnī kī nahīñ ham ḳhāksāroñ ko
tire ai charḳh bas hai gumbad-e-dvvār kā saayā
na jaanā sarzamīn-e-zulf se tū maañg meñ ai dil
na us raste meñ paanī hai na hai ashjār kā saayā
nasīr-e-ḳhasta-jāñ jannat se is kūche ko kab badle
ba az zill-e-humā hai yaar kī dīvār kā saayā
kare ranjur dil ko kyun na chashm-e-yar ka saya
wo kya achchha rahe jis par paDe bimar ka saya
qusur-e-fahm hai samjhe use gar KHar ka saya
paDa laila tere majnun ke jism-e-zar ka saya
dila sarw-e-chaman kya hai qad-e-dildar ka saya
ki sumbul bhi hai us ki zulf-e-ambar yar ka saya
mazar-e-kohkan par shamiyane ki kya hajat
sada rahta hai us par daman-e-kohsar ka saya
karun main kyun na ai dil sura-e-jinn paDh ke dam tujh par
ki tujh ko ho gaya hai us pari-ruKHsar ka saya
siyah-karon pe hai nazil hamesha rahmat-e-bari
ba-farq-e-mai-kashan hai abr-e-dariya-bar ka saya
samajh kar sanp us ko wo gale se mere aa lipTa
jo shab bistar pe dekha gul-badan ne haar ka saya
hawas KHema-nashini ki nahin hum KHaksaron ko
tere ai charKH bas hai gumbad-e-dwwar ka saya
na jaana sarzamin-e-zulf se tu mang mein ai dil
na us raste mein pani hai na hai ashjar ka saya
nasir-e-KHasta-jaan jannat se is kuche ko kab badle
ba az zill-e-huma hai yar ki diwar ka saya
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 329)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.