karta hun ab ke bar main tauba se tauba yar
karta hun ab ke bar main tauba se tauba yar
Khwaja Ruknuddin Ishq
MORE BYKhwaja Ruknuddin Ishq
kartā huuñ ab ke baar maiñ tauba se tauba yaar
kis vāste ki TuuTī hai tauba hazār baar
jal hī gayā firāq tū ātish se hijr kī
āñkhoñ meñ mirī rah na sakā yaaro intizār
barbād merī ḳhaak huī vaañ na le ga.ī
dil meñ mire rahegā sabā se yahī ġhubār
sāġhar tujhe qasam hai sar ḳham kī jald bhar
kartā hai dast-gīr vagarna mujhe ḳhumār
is tañg-nā-e-dahr se bāhar qadam ko rakh
hai āsmāñ zamīñ se pare vus.at-e-mazār
marham lagā na daaġh ko jarrāh mehr kar
ye daaġh taaza mere kisī kī haiñ yādgār
chaltā huuñ rāh-e-ishq meñ āñkhoñ se misl-e-ashk
phūTeñ kahīñ ye aable sarsabz hoveñ ḳhaar
ātish se gul kī daaġh magar 'ishq' khaa.e the
aa.ī jo peshvā tujhe lene ko nau-bahār
karta hun ab ke bar main tauba se tauba yar
kis waste ki TuTi hai tauba hazar bar
jal hi gaya firaq tu aatish se hijr ki
aankhon mein meri rah na saka yaro intizar
barbaad meri KHak hui wan na le gai
dil mein mere rahega saba se yahī ghubar
saghar tujhe qasam hai sar KHam ki jald bhar
karta hai dast-gir wagarna mujhe KHumar
is tang-na-e-dahr se bahar qadam ko rakh
hai aasman zamin se pare wusat-e-mazar
marham laga na dagh ko jarrah mehr kar
ye dagh taza mere kisi ki hain yaadgar
chalta hun rah-e-ishq mein aankhon se misl-e-ashk
phuTen kahin ye aable sarsabz howen KHar
aatish se gul ki dagh magar 'ishq' khae the
aai jo peshwa tujhe lene ko nau-bahaar
- Book : Kulliyat-e-Ruknuddin Ishq aur Unki Hayat aur Shaeri (Pg. 100)
- Author : Quraisha Husain
- Publication : The Azad Press, Patna (1979)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.