kaun kis ka hai kis ko ulfat hai
kaun kis kā hai kis ko ulfat hai
apne matlab kī saarī ḳhilqat hai
koī allāh mujh ko ye to batā.e
un se milne kī koī sūrat hai
ham-damoñ kyā kahūñ meñ haal apnā
kuchh na pūchho jo merī hālat hai
zarre zarre meñ mehr kā jalva
dekhe jo sāhab-e-basīrat hai
vo karam to kareñge kyā mujh par
yaad rakheñ yahī ġhanīmat hai
hai yahī kārḳhānā-e-ālam
kahīñ ġham hai kahīñ masarrat hai
qaid-e-duniyā se ham hue jo rihā
ai ajal ye tirī badaulat hai
hashr meñ vo manā rahe haiñ mujhe
ii.d se baḌh kar ye qayāmat hai
dil to ab ham lagā chuke 'nayyar'
aage allāh kī mashiyyat hai
kaun kis ka hai kis ko ulfat hai
apne matlab ki sari KHilqat hai
koi allah mujh ko ye to batae
un se milne ki koi surat hai
ham-damon kya kahun mein haal apna
kuchh na puchho jo meri haalat hai
zarre zarre mein mehr ka jalwa
dekhe jo sahab-e-basirat hai
wo karam to karenge kya mujh par
yaad rakhen yahi ghanimat hai
hai yahi karKHana-e-alam
kahin gham hai kahin masarrat hai
qaid-e-duniya se hum hue jo riha
ai ajal ye teri badaulat hai
hashr mein wo mana rahe hain mujhe
id se baDh kar ye qayamat hai
dil to ab hum laga chuke 'nayyar'
aage allah ki mashiyyat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.