kaun kisi ka is duniya mein kis ne pit nibhai
kaun kisī kā is duniyā meñ kis ne piit nibhā.ī
apnī zaat meñ gum haiñ saare kyā parbat kyā raa.ī
kaalā sūraj dekh ke kaalī raat ne lī añgḌā.ī
apnī raah meñ haa.il ho ga.ī āñkhoñ kī bīnā.ī
patte TuuT ga.e Daalī se ye kaisī rut aa.ī
maalā ke manke bikhre haiñ de ga.e yaar judā.ī
ik chehre meñ lākhoñ chehre har chehra harjā.ī
jhūTā mela ant akelā jhūTī piit lagā.ī
ik zarre meñ sahrāoñ kī vus.at aan samā.ī
ik qatre meñ Duub ke rah ga.ī sāgar kī gahrā.ī
tujh bin sājan merī hastī mere kaam na aa.ī
baat banāne se kyā bantī tū ne baat banā.ī
saañs kī aarī kaaT rahī hai sadiyoñ kī pahnā.ī
hastī ke bahrūp meñ 'vāsif' maut sandesa laa.ī
kaun kisi ka is duniya mein kis ne pit nibhai
apnī zat mein gum hain sare kya parbat kya rai
kala suraj dekh ke kali raat ne li angDai
apnī rah mein hail ho gai aankhon ki binai
patte TuT gae Dali se ye kaisi rut aai
mala ke manke bikhre hain de gae yar judai
ek chehre mein lakhon chehre har chehra harjai
jhuTa mela ant akela jhuTi pit lagai
ek zarre mein sahraon ki wusat aan samai
ek qatre mein Dub ke rah gai sagar ki gahrai
tujh bin sajan meri hasti mere kaam na aai
baat banane se kya banti tu ne baat banai
sans ki aari kaT rahi hai sadiyon ki pahnai
hasti ke bahrup mein 'wasif' maut sandesa lai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.