dil ko daghon se shab-e-hijr bahalne na diya
dil ko dāġhoñ se shab-e-hijr bahalne na diyā
mash.aloñ ko shab-e-tārīk meñ jalne na diyā
bāġh-e-ālam meñ hameñ phūlne-phalne na diyā
āsmāñ ne koī armāñ nikalne na diyā
sozish-e-dil ne kabhī ashkoñ ko Dhalne na diyā
ham ne is dhuup meñ bachchoñ ko nikalne na diyā
ma.ashūq-e-pā-bos meñ āshiq ne bichā.ī āñkheñ
farsh-e-gul par kabhī is shoḳh ko chalne na diyā
nigah-e-nāz ke vo tiir lagā.e paiham
bāñke tirchoñ ko zarā us ne sambhalne na diyā
mahfil-e-yār meñ aġhyār haiñ haaye ġhazab
bāġh-e-firdaus se kāñToñ ko nikalne na diyā
ḳhūn-e-ushshāq se qātil ne na khelī holī
saf-e-maqtal meñ kabhī rañg uchhalne na diyā
vasl meñ gesū-e-shab-gūñ ne chhupā.ī aariz
lailatul-qadr meñ kyuuñ chāñd nikalne na diyā
umr-bhar dil meñ rahī yaad parī-rūoñ kī
'kausar' is shīshe se pariyoñ ko nikalne na diyā
dil ko daghon se shab-e-hijr bahalne na diya
mashalon ko shab-e-tarik mein jalne na diya
bagh-e-alam mein hamein phulne-phalne na diya
aasman ne koi arman nikalne na diya
sozish-e-dil ne kabhi ashkon ko Dhalne na diya
hum ne is dhup mein bachchon ko nikalne na diya
mashuq-e-pa-bos mein aashiq ne bichai aankhen
farsh-e-gul par kabhi is shoKH ko chalne na diya
nigah-e-naz ke wo tir lagae paiham
banke tirchon ko zara us ne sambhalne na diya
mahfil-e-yar mein aghyar hain haye ghazab
bagh-e-firdaus se kanTon ko nikalne na diya
KHun-e-ushshaq se qatil ne na kheli holi
saf-e-maqtal mein kabhi rang uchhalne na diya
wasl mein gesu-e-shab-gun ne chhupai aariz
lailatul-qadr mein kyun chand nikalne na diya
umr-bhar dil mein rahi yaad pari-ruon ki
'kausar' is shishe se pariyon ko nikalne na diya
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 81)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.