aankhon se dil mein dil se kaleje mein rah ki
āñkhoñ se dil meñ dil se kaleje meñ raah kī
dekhī chalat-phirat terī tīr-e-nigāh kī
husn-o-jamāl par jis ne nigāh kī
puurī huī daad dil-e-dād-ḳhvāh kī
kaarī lagī jigar pe kaTārī nigāh kī
be-ḳhud huā zamīñ par girā dil se aah kī
dil ko biThā.e detī hai taklīf raah kī
kyuuñ kar koī uThā.e ye gaThrī gunāh kī
maidān-e-hashr hākim-e-ādil kā sāmnā
rañgat uḌī huī hai but-e-kaj-kulāh kī
jī-bhar ke shāh-e-ishq kī ḳhidmat na kar sake
dāvat faqīr se na huī bādshāh kī
vo nīm-jāñ huuñ maiñ kisī pahlū nahīñ qarār
barchhī jigar par khaa.ī hai tirchhī nigāh kī
'kausar' vasl shāh-e-hasīnāñ kī aarzū
mujh ko nahīñ jahāñ meñ havas māl-o-jāh kī
aankhon se dil mein dil se kaleje mein rah ki
dekhi chalat-phirat teri tir-e-nigah ki
husn-o-jamal par jis ne nigah ki
puri hui dad dil-e-dad-KHwah ki
kari lagi jigar pe kaTari nigah ki
be-KHud hua zamin par gira dil se aah ki
dil ko biThae deti hai taklif rah ki
kyun kar koi uThae ye gaThri gunah ki
maidan-e-hashr hakim-e-adil ka samna
rangat uDi hui hai but-e-kaj-kulah ki
ji-bhar ke shah-e-ishq ki KHidmat na kar sake
dawat faqir se na hui baadshah ki
wo nim-jaan hun main kisi pahlu nahin qarar
barchhi jigar par khai hai tirchhi nigah ki
'kausar' wasl shah-e-hasinan ki aarzu
mujh ko nahin jahan mein hawas mal-o-jah ki
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 85)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.