le ke dil aaya tha jo be-dil gaya
Interesting Fact
(پیام یار لکھنو۔ جولائی ۱۸۹۷ء)
le ke dil aayā thā jo be-dil gayā
un se milne kā natīja mil gayā
ro.ab-e-qātil se zarā taḌpe na ham
zer-e-ḳhanjar iztirāb-e-dil gayā
paañv phailā kar lahad meñ so.e ham
ho ga.ī sehat jo dard-e-dil mil gayā
saḳht-jānī se galā kaTtā nahīñ
e'tibār-e-ḳhanjar-e-qātil gayā
vasl meñ siine se lipTā kar kahā
hai kasak baaqī ki dard-e-dil gayā
sīna-e-bismil pe un kā haath hai
ab vo lutf-e-iztirāb-e-dil gayā
kyā nasīm-e-sub.h-dam thī teġh-e-nāz
zaḳhm-e-dil ubhrā ki ġhuncha khil gayā
ā.īna dekhā to qal.ī khul ga.ī
aaj un kā da.avā-e-bātil gayā
yād-e-lailā meñ girā ġhash khā ke qais
sāmne se jab koī mahmil gayā
bismiloñ se muñh jo moḌā teġh ne
dil-dahī ko nāvak-e-qātil gayā
vaqt-e-kushtan kis diye kyuuñ dast-o-pā
raqs-e-bismil kā maza qātil gayā
gāliyāñ khā.īñ uThā.īñ jhiḌkiyāñ
arz-e-matlab kā natīja mil gayā
bole vo gardan jhukā kar ba.ad vasl
dushmanoñ kā ab to dard-e-dil gayā
sūrat-e-bismil haiñ 'kausar' muztarib
hijr meñ sabr-o-qarār-e-dil gayā
le ke dil aaya tha jo be-dil gaya
un se milne ka natija mil gaya
roab-e-qatil se zara taDpe na hum
zer-e-KHanjar iztirab-e-dil gaya
panw phaila kar lahad mein soe hum
ho gai sehat jo dard-e-dil mil gaya
saKHt-jaani se gala kaTta nahin
e'tibar-e-KHanjar-e-qatil gaya
wasl mein sine se lipTa kar kaha
hai kasak baqi ki dard-e-dil gaya
sina-e-bismil pe un ka hath hai
ab wo lutf-e-iztirab-e-dil gaya
kya nasim-e-subh-dam thi tegh-e-naz
zaKHm-e-dil ubhra ki ghuncha khil gaya
aaina dekha to qali khul gai
aaj un ka dawa-e-baatil gaya
yaad-e-laila mein gira ghash kha ke qais
samne se jab koi mahmil gaya
bismilon se munh jo moDa tegh ne
dil-dahi ko nawak-e-qatil gaya
waqt-e-kushtan kis diye kyun dast-o-pa
raqs-e-bismil ka maza qatil gaya
galiyan khain uThain jhiDkiyan
arz-e-matlab ka natija mil gaya
bole wo gardan jhuka kar baad wasl
dushmanon ka ab to dard-e-dil gaya
surat-e-bismil hain 'kausar' muztarib
hijr mein sabr-o-qarar-e-dil gaya
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 86)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.