is pari ko KHana-e-dushman mein mehman dekh kar
Interesting Fact
27اکتوبر 1916میں’ گیا‘ کا ایک یاد گار تاریخی طرحی مشاعرہ بمقام موجودہ ماڈل ہائی اسکول، گیا میں منعقد ہواتھا جس میں نوح ناروی جیسے باوقار اور عظیم شاعر بھی موجود تھے ۔ اس مشاعرے کا مصرع طرح یہ تھا’’گل کو خنداں دیکھ کر شبنم کو گریاں دیکھ کر‘‘ کوثرؔ خیرآبادی کی غزل اسی مصرع کی پابند ہے۔
is parī ko ḳhāna-e-dushman meñ mehmāñ dekh kar
ḳhuuñ rotā huuñ maiñ sū-e-charḳh-e-gardāñ dekh kar
ai sabā zāhir huī nairañgī-e-nāz-o-niyāz
gul ko ḳhandāñ dekh kar shabnam ko giryāñ dekh kar
yās-o-hasrat se mire dil kā kañval murjhā gayā
baaġh meñ sūkhī huī murjhā.ī kaliyāñ dekh kar
kar ke da.avā ḳhūn-e-nāhaq kā bahut nādim huā
arsa-e-mahshar meñ qātil ko pareshāñ dekh kar
yaad karke kausar-e-marhūm ko ro.e bahut
lucknow kī aaj vo sunsān galiyāñ dekh kar
is pari ko KHana-e-dushman mein mehman dekh kar
KHun rota hun main su-e-charKH-e-gardan dekh kar
ai saba zahir hui nairangi-e-naz-o-niyaz
gul ko KHandan dekh kar shabnam ko giryan dekh kar
yas-o-hasrat se mere dil ka kanwal murjha gaya
bagh mein sukhi hui murjhai kaliyan dekh kar
kar ke dawa KHun-e-nahaq ka bahut nadim hua
arsa-e-mahshar mein qatil ko pareshan dekh kar
yaad karke kausar-e-marhum ko roe bahut
lucknow ki aaj wo sunsan galiyan dekh kar
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 91)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.