chhap gaya nazron mein naqsha aalam-e-ijad ka
chhap gayā nazroñ meñ naqsha ālam-e-ījād kā
kis qadar chamkā huā hai rañg ādam-zād kā
guuñj jaatā hai shab-e-furqat meñ nāloñ se falak
ālam-e-bālā pe charchā hai mirī fariyād kā
dekh kar us gul kī sūrat saaf rañgat aa ga.ī
rah gayā kāġhaz pe naqsha hairat-e-bahzād kā
gardish-e-taqdīr ne chakkar diye haiñ saiñkaḌoñ
tauf barsoñ tak rahā hai ḳhāna-e-sayyād kā
liiñ haiñ tīr-e-nazar mashq-e-sitam hotī hai rose
hai dil-e-'kausar' nishāna nāvak-e-bedād kā
chhap gaya nazron mein naqsha aalam-e-ijad ka
kis qadar chamka hua hai rang aadam-zad ka
gunj jata hai shab-e-furqat mein nalon se falak
aalam-e-baala pe charcha hai meri fariyaad ka
dekh kar us gul ki surat saf rangat aa gai
rah gaya kaghaz pe naqsha hairat-e-bahzad ka
gardish-e-taqdir ne chakkar diye hain sainkaDon
tauf barson tak raha hai KHana-e-sayyaad ka
lin hain tir-e-nazar mashq-e-sitam hoti hai rose
hai dil-e-'kausar' nishana nawak-e-bedad ka
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 82)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.