miyan se nikla jo tegha as sitam-ijad ka
miyāñ se niklā jo teġha as sitam-ījād kā
haath bhar kā ho gayā dil āshiq-e-nāshād kā
ḳhanda-e-dandāñ-numā se bijliyāñ chamkā.iye
phūñknā madd-e-nazar hai gar dil-e-nāshād kā
al-madad shauq-e-shahādat dekhiye hotā hai kyā
dil za.īf-o-nā-tavāñ aur sāmnā jallād kā
jab na gardan kaT sakī jhunjhlā ke chal diiyā
teġh kā muñh muḌte hī ruḳh phir gayā jallād kā
qaidyān-e-dām-e-gesū karte haiñ shab-bhar duā
silsila baḌh jaa.e yā-rab qaid kī sayyād kā
surmagīñ āñkhoñ par as ke ḳhaal kā nuqta nahīñ
ain par ustād nai kheñchā hai halqa saad kā
ahl-e-ālam kahte haiñ jas kau shahanshāh-e-suḳhan
maiñ bhī huuñ shāgird 'kausar' as jagat ustād kā
miyan se nikla jo tegha as sitam-ijad ka
hath bhar ka ho gaya dil aashiq-e-nashad ka
KHanda-e-dandan-numa se bijliyan chamkaiye
phunkna madd-e-nazar hai gar dil-e-nashad ka
al-madad shauq-e-shahadat dekhiye hota hai kya
dil zaif-o-na-tawan aur samna jallad ka
jab na gardan kaT saki jhunjhla ke chal diya
tegh ka munh muDte hi ruKH phir gaya jallad ka
qaidyan-e-dam-e-gesu karte hain shab-bhar dua
silsila baDh jae ya-rab qaid ki sayyaad ka
surmagin aankhon par as ke KHal ka nuqta nahin
ain par ustad nai khencha hai halqa sad ka
ahl-e-alam kahte hain jas kau shahanshah-e-suKHan
main bhi hun shagird 'kausar' as jagat ustad ka
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 82)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.