hota yaqin jo tujhko bahut bad-guman nahin
hotā yaqīñ jo tujh ko bahut bad-gumāñ nahīñ
kyūñkar dikhā.ūñ dard kahāñ hai kahāñ nahīñ
sargarm-e-qatl kab but-e-nā-mehrabāñ nahīñ
pyāsā mire lahū kā faqat āsmāñ nahīñ
ifshā-e-rāz-e-ishq se lab par fuġhāñ nahīñ
goyā mire dahan meñ zabāñ hai bayāñ nahīñ
jhagḌe fuzūl haiñ ye savāl-e-visāl par
qissa miTāo muñh se kaho saaf haañ nahīñ
kis ko sunā.ūñ kis se kahūñ mājrā-e-ġham
gūñge kā ḳhvāb hai ye mirī dāstāñ nahīñ
kaun-o-makāñ meñ sūrat-e-jānāñ hai jalva-gar
zāhid tujhe batā.ūñ kahāñ hai kahāñ nahīñ
dil meñ jigar meñ āñkhoñ meñ rahiye ḳhushī se aap
phir ye na kahiyegā koī miltā makāñ nahīñ
hāl-e-shab-e-firāq merī jaañ na pochhiye
ye sarguzasht qābil-e-sharh-o-bayāñ nahīñ
ḳhaak aa.e hijr meñ dil-e-be-tāb ko qarār
taḌpūñ na kis tarah ki vo ārām-e-jāñ nahīñ
josh-e-junūñ meñ dāġh-e-jigar mere bhare
gulchīñ hamāre baaġh ko ḳhauf-e-ḳhizāñ nahīñ
kyuuñ maiñ firāq-e-yār meñ āh-o-fuġhāñ karūñ
'kausar' dil-e-hazīñ jaras-e-kārvāñ nahīñ
hota yaqin jo tujh ko bahut bad-guman nahin
kyunkar dikhaun dard kahan hai kahan nahin
sargarm-e-qatl kab but-e-na-mehraban nahin
pyasa mere lahu ka faqat aasman nahin
ifsha-e-raaz-e-ishq se lab par fughan nahin
goya mere dahan mein zaban hai bayan nahin
jhagDe fuzul hain ye sawal-e-visal par
qissa miTao munh se kaho saf han nahin
kis ko sunaun kis se kahun majra-e-gham
gunge ka KHwab hai ye meri dastan nahin
kaun-o-makan mein surat-e-jaanan hai jalwa-gar
zahid tujhe bataun kahan hai kahan nahin
dil mein jigar mein aankhon mein rahiye KHushi se aap
phir ye na kahiyega koi milta makan nahin
haal-e-shab-e-firaq meri jaan na pochhiye
ye sarguzasht qabil-e-sharh-o-bayan nahin
KHak aae hijr mein dil-e-be-tab ko qarar
taDpun na kis tarah ki wo aaram-e-jaan nahin
josh-e-junun mein dagh-e-jigar mere bhare
gulchin hamare bagh ko KHauf-e-KHizan nahin
kyun main firaq-e-yar mein aah-o-fughan karun
'kausar' dil-e-hazin jaras-e-karwan nahin
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 82)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.