hai munawwar ruKH-e-pur-nur se sab ghar-bahar
hai munavvar ruḳh-e-pur-nūr se sab ghar-bāhar
ek sā jalva-e-ḳhurshīd hai andar-bāhar
bazm-e-ḳhalvat meñ agar chhup ke hayā aane lagī
baḌh ke āvāz dī shoḳhī ne ki bāhar bāhar
sozish-e-dil ko bujhātī nahīñ chashm-e-giryāñ
ghar phuñkā jaatā hai bahtā hai samundar bāhar
haiñ sar-e-rāh bichhā.e hue āñkheñ mushtāq
bole vo zulm hai nikle koī kyūñkar bāhar
jīte-jī naqsh-e-qadam ban ke jo baiThe na uThe
kūcha-e-yār se ham nikle haiñ mar kar bāhar
jazba-e-shauq-e-shahādat jo dikhā.ī bismil
teġh-e-kāThī se nikal aa.ī taḌap kar bāhar
bazm-e-ḳhalvat meñ vo sote haiñ dupaTTa taane
jalva-e-husn-e-ḳhudā-dād hai andar-bāhar
parda-e-abr se niklā hai mah-e-nau 'kausar'
yā huā hai miyāñ se us turk kā ḳhanjar bāhar
hai munawwar ruKH-e-pur-nur se sab ghar-bahar
ek sa jalwa-e-KHurshid hai andar-bahar
bazm-e-KHalwat mein agar chhup ke haya aane lagi
baDh ke aawaz di shoKHi ne ki bahar bahar
sozish-e-dil ko bujhati nahin chashm-e-giryan
ghar phunka jata hai bahta hai samundar bahar
hain sar-e-rah bichhae hue aankhen mushtaq
bole wo zulm hai nikle koi kyunkar bahar
jite-ji naqsh-e-qadam ban ke jo baiThe na uThe
kucha-e-yar se hum nikle hain mar kar bahar
jazba-e-shauq-e-shahadat jo dikhai bismil
tegh-e-kaThi se nikal aai taDap kar bahar
bazm-e-KHalwat mein wo sote hain dupaTTa tane
jalwa-e-husn-e-KHuda-dad hai andar-bahar
parda-e-abr se nikla hai mah-e-nau 'kausar'
ya hua hai miyan se us turk ka KHanjar bahar
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 83)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.