mujassam surat-e-gham hun sarapa hasrat-e-dil hun
mujassam surat-e-gham hun sarapa hasrat-e-dil hun
Kausar Khairabadi
MORE BYKausar Khairabadi
mujassam sūrat-e-ġham huuñ sarāpā hasrat-e-dil huuñ
na maiñ zindoñ meñ dāḳhil huuñ na maiñ mardoñ meñ shāmil huuñ
adā-o-nāz-e-qātil huuñ kabhī andāz-e-bismil huuñ
kahīñ maiñ ḳhanda-e-gul huuñ kahīñ soz-e-anādil huuñ
mujhe taḌpā rahī hai yād-e-teġh-e-abrū-e-qātil
saf-e-maqtal meñ goyā meñ javāb-e-murġh-e-bismil huuñ
ḳhayāl-e-mah-jabīnāñ bhuul kar dil meñ nahīñ aatā
jahāñ par qāfile luTte haiñ vo vīrān manzil huuñ
vahāñ nāz-o-nazākat hai yahāñ zo.af-e-naqāhat hai
na vo aane ke laa.eq haiñ na maiñ jaane ke qābil huuñ
ilāj-e-bad-gumānī hai mire imkān se bāhire
bigaḌte kyuuñ ho maiñ ne kab kahā hūroñ pe maa.il huuñ
unheñ dil kyā diyā goyā balā.eñ mol liiñ maiñ ne
satā.eñ dil dukhā.eñ maiñ jafāoñ hī ke qābil huuñ
ḳhudā ke sāmne ban-Than ke jab vo be-naqāb aayā
dil-e-betāb bol uThā us kāfir pe maa.il huuñ
mujhe kyuuñ pīste haiñ gardish-e-aflāk ai 'kausar'
na maiñ lohā na patthar huuñ magar hasrat-zada dil huuñ
mubārak zāhidoñ ko phir bāġh-e-ḳhuld 'kausar'
na jannat mere qābil hai na maiñ jannat ke qābil huuñ
mujassam surat-e-gham hun sarapa hasrat-e-dil hun
na main zindon mein daKHil hun na main mardon mein shamil hun
ada-o-naz-e-qatil hun kabhi andaz-e-bismil hun
kahin main KHanda-e-gul hun kahin soz-e-anadil hun
mujhe taDpa rahi hai yaad-e-tegh-e-abru-e-qatil
saf-e-maqtal mein goya mein jawab-e-murgh-e-bismil hun
KHayal-e-mah-jabinan bhul kar dil mein nahin aata
jahan par qafile luTte hain wo viran manzil hun
wahan naz-o-nazakat hai yahan zoaf-e-naqahat hai
na wo aane ke laeq hain na main jaane ke qabil hun
ilaj-e-bad-gumani hai mere imkan se bahire
bigaDte kyun ho main ne kab kaha huron pe mail hun
unhen dil kya diya goya balaen mol lin main ne
sataen dil dukhaen main jafaon hi ke qabil hun
KHuda ke samne ban-Than ke jab wo be-naqab aaya
dil-e-betab bol uTha us kafir pe mail hun
mujhe kyun piste hain gardish-e-aflak ai 'kausar'
na main loha na patthar hun magar hasrat-zada dil hun
mubarak zahidon ko phir bagh-e-KHuld 'kausar'
na jannat mere qabil hai na main jannat ke qabil hun
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 83)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.