hue dost dushman mere ai jaan teri furqat mein
hue dost dushman mere ai jaañ terī furqat meñ
misl sach hai nahīñ apnā koī hotā musībat meñ
ḳhushī se paañv phailāte haiñ kyā kyā kunj-e-turbat meñ
ajab lazzat hai tire haath se qātil shahādat meñ
husūl-e-vasl nā-mumkin tamannā.eñ merī behad
ilāhī kis tarah niklegā dam is yās-o-hasrat
nikaltī hai sadā.eñ marhabā har zaḳhm se qātil
hameñ lazzat milī kyā jaane kyā shauq-e-shahādat meñ
merā dāman yakāyak bhar gayā la.al-e-badaḳhshāñ se
lab-e-rañgīñ jo yaad aa.e kisī kī josh-e-riqqat meñ
kalām-e-yār se nisbat nahīñ taqrīr-e-īsā ko
latāfat meñ talāqat meñ fasāhat meñ balāġhat meñ
ḳhudā se Dar zarā 'kausar' ki tū to kho.e baiThā hai
sarāpā dīn-o-īmān ik but-e-kāfir kī chāhat meñ
ba-zāhir haiñ judā go āshiq-o-māshūq ai 'kausar'
nahīñ hai etibārī farq bhī lekin haqīqat meñ
hue dost dushman mere ai jaan teri furqat mein
misl sach hai nahin apna koi hota musibat mein
KHushi se panw phailate hain kya kya kunj-e-turbat mein
ajab lazzat hai tere hath se qatil shahadat mein
husul-e-wasl na-mumkin tamannaen meri behad
ilahi kis tarah niklega dam is yas-o-hasrat
nikalti hai sadaen marhaba har zaKHm se qatil
hamein lazzat mili kya jaane kya shauq-e-shahadat mein
mera daman yakayak bhar gaya lal-e-badaKHshan se
lab-e-rangin jo yaad aae kisi ki josh-e-riqqat mein
kalam-e-yar se nisbat nahin taqrir-e-isa ko
latafat mein talaqat mein fasahat mein balaghat mein
KHuda se Dar zara 'kausar' ki tu to khoe baiTha hai
sarapa din-o-iman ek but-e-kafir ki chahat mein
ba-zahir hain juda go aashiq-o-mashuq ai 'kausar'
nahin hai etibari farq bhi lekin haqiqat mein
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 84)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.