yun ajal samne har-waqt khaDi rahti hai
yuuñ ajal sāmne har-vaqt khaḌī rahtī hai
kisī darvāze pe sil jaise aḌī rahtī hai
halqa-e-dīda-e-āshiq use samjhā maiñ ne
jis kaḌī meñ terī jhūmar kī laḌī rahtī hai
chashm-e-bad-dūr ho yārab dur-e-dandāñ se tere
aisī daulat kahīñ miTTī meñ gaḌhī rahtī hai
biiḌī minnat kī paḌī paañv se baḌh kar kaliyāñ
tauq ho kar mirī gardan meñ paḌī rahtī hai
yun ajal samne har-waqt khaDi rahti hai
kisi darwaze pe sil jaise aDi rahti hai
halqa-e-dida-e-ashiq use samjha main ne
jis kaDi mein teri jhumar ki laDi rahti hai
chashm-e-bad-dur ho yarab dur-e-dandan se tere
aisi daulat kahin miTTi mein gaDhi rahti hai
biDi minnat ki paDi panw se baDh kar kaliyan
tauq ho kar meri gardan mein paDi rahti hai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 84)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.