jafa-o-jaur ke sadqe tasadduq-bar-zabani par
jafā-o-jaur ke sadqe tasadduq-bar-zabānī par
sunāte haiñ vo lākhoñ be-nuqat is be-dahānī par
ḳhudā rā rahm kar jallād lab tishna-dhānī par
shifā bīmār-e-ġham kī uTh rahī hai ḳhanjar ke paanī par
vo dast-e-nāzuk se agar zahr-e-halāhal deñ
tasadduq hoñ janāb-e-ḳhizr marg-e-nā-gahānī par
ġhurūr-e-husn un ko do-qadam chalne nahīñ detā
nazākat phaT paḌī nām-e-ḳhudā uThtī javānī par
talāsh-e-āb-e-haivāñ meñ hazāroñ Thokareñ khā.īñ
ḳhizr kyuuñ jaan dete haiñ hayāt-e-jāvedānī par
na pahuñchā kūcha-e-dildār meñ musht-e-ġhubār apnā
sabā ko bhī na rahm aayā hamārī nā-tavānī par
jo azm-e-qatl hai āñkhoñ pe paTTī bāñdh lī qātil
mabādā tujh ko rahm aa jaa.e merī nā-tavānī par
paḌe jab vaar ochhe muskurā.e zaḳhm bismil ke
udhar teġh-e-dūdam ne daañt piise saḳht-jānī par
bahār-e-ḳhuld sadqe hai tan-e-pur-dāġh par 'kausar'
gul-e-firdaus kā dhokā hai chhalloñ kī nishānī par
jafa-o-jaur ke sadqe tasadduq-bar-zabani par
sunate hain wo lakhon be-nuqat is be-dahani par
KHuda ra rahm kar jallad lab tishna-dhani par
shifa bimar-e-gham ki uTh rahi hai KHanjar ke pani par
wo dast-e-nazuk se agar zahr-e-halahal den
tasadduq hon janab-e-KHizr marg-e-na-gahani par
ghurur-e-husn un ko do-qadam chalne nahin deta
nazakat phaT paDi nam-e-KHuda uThti jawani par
talash-e-ab-e-haiwan mein hazaron Thokaren khain
KHizr kyun jaan dete hain hayat-e-jawedani par
na pahuncha kucha-e-dildar mein musht-e-ghubar apna
saba ko bhi na rahm aaya hamari na-tawani par
jo azm-e-qatl hai aankhon pe paTTi bandh li qatil
mabaada tujh ko rahm aa jae meri na-tawani par
paDe jab war ochhe muskurae zaKHm bismil ke
udhar tegh-e-dudam ne dant pise saKHt-jaani par
bahaar-e-KHuld sadqe hai tan-e-pur-dagh par 'kausar'
gul-e-firdaus ka dhoka hai chhallon ki nishani par
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 84)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.