mere sath aake rang-e-bazm-e-jajaan kaun dekhega
mere sath aake rang-e-bazm-e-jajaan kaun dekhega
Kazim Hussain Raaz
MORE BYKazim Hussain Raaz
mere saath aake rañg-e-bazm-e-jājāñ kaun dekhegā
dil-o-jāñ nazr kar ke ḳhūn-e-armāñ kaun dekhegā
na ghabrāo karegā kaun da.avā ḳhūn-e-nāhaq kā
sar-e-mahshar tumheñ sar-dar-garebāñ kaun dekhegā
ḳhudārā dard kā mere asar tum bhī na le lenā
ye hañs-hañs kar mirā hāl-e-pareshāñ kaun dekhegā
ġhanīmat hai shab-e-ġham niiñd uḌ jaatī hai āñkhoñ se
sahar tak saikḌoñ ḳhvāb-e-pareshāñ kaun dekhegā
bikhar jā.eñge jalve tum naqāb-e-ruḳh na sarkāo
nigāh-e-shauq kī tañgī-e-dāmāñ kaun dekhegā
mere sath aake rang-e-bazm-e-jajaan kaun dekhega
dil-o-jaan nazr kar ke KHun-e-arman kaun dekhega
na ghabrao karega kaun dawa KHun-e-nahaq ka
sar-e-mahshar tumhein sar-dar-gareban kaun dekhega
KHudara dard ka mere asar tum bhi na le lena
ye hans-hans kar mera haal-e-pareshan kaun dekhega
ghanimat hai shab-e-gham nind uD jati hai aankhon se
sahar tak saikDon KHwab-e-pareshan kaun dekhega
bikhar jaenge jalwe tum naqab-e-ruKH na sarkao
nigah-e-shauq ki tangi-e-daman kaun dekhega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.