KHak ke putle ne dekh kya hi machaya hai shor
KHak ke putle ne dekh kya hi machaya hai shor
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ḳhaak ke putle ne dekh kyā hī machāyā hai shor
jinn-o-malak ke uupar kar rahā hai apnā zor
'ishq ke maidān meñ aa sūrat-e-insān banā
'āshiq-e-maulā ho aa chāñd kā jaise chakor
siina meñ qulzum ko le qatra kā qatra rahā
bal be-samā.ī tirī ure samundar ke chor
jab vo huā jalva-gar takHt-e-kHilāfat uupar
'ālam-e-malkūt ke uḌ ga.e hāthoñ ke mor
dil meñ ham apne 'niyāz' rakhte haiñ sau tarz-e-nāz
sūjhe hai ye bhed use jis kī na ho chashm-kor
KHak ke putle ne dekh kya hi machaya hai shor
jinn-o-malak ke upar kar raha hai apna zor
'ishq ke maidan mein aa surat-e-insan bana
'ashiq-e-maula ho aa chand ka jaise chakor
sina mein qulzum ko le qatra ka qatra raha
bal be-samai teri ure samundar ke chor
jab wo hua jalwa-gar takHt-e-kHilafat upar
'alam-e-malkut ke uD gae hathon ke mor
dil mein hum apne 'niyaz' rakhte hain sau tarz-e-naz
sujhe hai ye bhed use jis ki na ho chashm-kor
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.