koi kuchh kahe koi kuchh kahe mera dil to un par ab aa chuka
koi kuchh kahe koi kuchh kahe mera dil to un par ab aa chuka
Khalil Safipuri
MORE BYKhalil Safipuri
koī kuchh kahe koī kuchh kahe mirā dil to un par ab aa chukā
mire paas to vahī ek thā so vo jā chukā so vo jā chukā
kaho kaise mānūñ maiñ ab kahā mirā dil pe qaabū nahīñ rahā
mirā dil shafīq-o-rafīq thā so vo haath mujh se uThā chukā
vo jo rishta mujh se thā dil ko haañ so qasam ḳhudā kī abhī abhī
yahīñ mujh se toḌ ke zāhidā kisī be-vafā se milā chukā
na rahī mujhe koī aarzū na kisī kī fikr na justujū
jo un āñkhoñ ne nahīñ dekhā thā so vo 'ishq mujh ko dikhā chukā
tirī baat kaise hai zāhidā tirī 'aql kaisī hai tū kahāñ
ye sunā nahīñ ki 'ḳhalīl' ko koī aur kuchh hai sunā chakā
koi kuchh kahe koi kuchh kahe mera dil to un par ab aa chuka
mere pas to wahi ek tha so wo ja chuka so wo ja chuka
kaho kaise manun main ab kaha mera dil pe qabu nahin raha
mera dil shafiq-o-rafiq tha so wo hath mujh se uTha chuka
wo jo rishta mujh se tha dil ko han so qasam KHuda ki abhi abhi
yahin mujh se toD ke zahida kisi be-wafa se mila chuka
na rahi mujhe koi aarzu na kisi ki fikr na justuju
jo un aankhon ne nahin dekha tha so wo 'ishq mujh ko dikha chuka
teri baat kaise hai zahida teri 'aql kaisi hai tu kahan
ye suna nahin ki 'KHalil' ko koi aur kuchh hai suna chaka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.