hui dil mein mere jaanan teri kis qadar rasai
huī dil meñ mere jānāñ tirī kis qadar rasā.ī
mirī shakl se hai zāhir ba-ḳhudā tirī ḳhudā.ī
mire dilrubā kī sūrat jo kahīñ to dekhe zāhid
vahīñ bhuul jaa.e haqqā tujhe saarī pārsā.ī
ba-ḳhudā tum hī tum hī ho jo nazar meñ aa rahā hai
kahīñ shān-e-kibriyā.ī kahīñ sūrat-e-gadā.ī
kahīñ shakl 'āshiqāna ba-kHayāl-e-māh-rūī
kahīñ shān-e-ḳhud-numā.ī kahīñ nāz-o-dilrubā.ī
mujhe 'ishq ne dikhāyā vo maqām jis jagah par
na falak kā hai guzar vaañ na malak kī hai rasā.ī
jo karūñ tavāf apnā to bajā hai aur zebā
tirī shakl pyārī pyārī mire dil meñ hai samā.ī
zarā ab 'ḳhalīl' dekho ba-jamāl-e-shāh-e-ḳhādim
hamā tarz-e-be-niyāzī hamā shān-e-mustafā.ī
hui dil mein mere jaanan teri kis qadar rasai
meri shakl se hai zahir ba-KHuda teri KHudai
mere dilruba ki surat jo kahin to dekhe zahid
wahin bhul jae haqqa tujhe sari parsai
ba-KHuda tum hi tum hi ho jo nazar mein aa raha hai
kahin shan-e-kibriyai kahin surat-e-gadai
kahin shakl 'ashiqana ba-kHayal-e-mah-rui
kahin shan-e-KHud-numai kahin naz-o-dilrubai
mujhe 'ishq ne dikhaya wo maqam jis jagah par
na falak ka hai guzar wan na malak ki hai rasai
jo karun tawaf apna to baja hai aur zeba
teri shakl pyari pyari mere dil mein hai samai
zara ab 'KHalil' dekho ba-jamal-e-shah-e-KHadim
hama tarz-e-be-niyazi hama shan-e-mustafai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.