asir-e-gesu kisi ke hain hum chhuTenge kyun-kar chhuTenge kyun-kar
asir-e-gesu kisi ke hain hum chhuTenge kyun-kar chhuTenge kyun-kar
Khalil Safipuri
MORE BYKhalil Safipuri
asīr-e-gesū kisī ke haiñ ham chhūTeñge kyūñ-kar chhūTeñge kyūñ-kar
qatīl-e-abrū kisī ke haiñ ham bacheñge kyūñ-kar bacheñge kyūñ-kar
jo sun rahe haiñ hazār dil se fasāna-e-'ishq-o-dard-o-ulfat
vo qissa-e-hūr-o-kHuld vā'iz suneñge kyūñ-kar suneñge kyūñ-kar
mirā na jaane koī hameñ haañ qasam ḳhudā kī qasam ḳhudā kī
shahīd-e-ulfat kisī ke haiñ ham mareñge kyūñ-kar mareñge kyūñ-kar
kisī kī furqat meñ ḳhūn-e-dil ko jo pī rahe haiñ ba-sad tamannā
batā de vā'iz vo āb-e-kausar piyeñge kyūñ-kar piyeñge kyūñ-kar
jo āstāna pe shāh-e-ḳhādim ke sar jhukā.eñ 'ḳhalīl' apnā
vo sar ko apne kisī ke dar par dhareñge kyūñ-kar dhareñge kyūñ-kar
asir-e-gesu kisi ke hain hum chhuTenge kyun-kar chhuTenge kyun-kar
qatil-e-abru kisi ke hain hum bachenge kyun-kar bachenge kyun-kar
jo sun rahe hain hazar dil se fasana-e-'ishq-o-dard-o-ulfat
wo qissa-e-hur-o-kHuld wa'iz sunenge kyun-kar sunenge kyun-kar
mera na jaane koi hamein han qasam KHuda ki qasam KHuda ki
shahid-e-ulfat kisi ke hain hum marenge kyun-kar marenge kyun-kar
kisi ki furqat mein KHun-e-dil ko jo pi rahe hain ba-sad tamanna
bata de wa'iz wo aab-e-kausar piyenge kyun-kar piyenge kyun-kar
jo aastana pe shah-e-KHadim ke sar jhukaen 'KHalil' apna
wo sar ko apne kisi ke dar par dharenge kyun-kar dharenge kyun-kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.