be-KHabar dil mein tere kuchh hai asar
be-ḳhabar dil meñ tire kuchh hai asar
is taḌapne kī hamāre hai ḳhabar
terī sūrat har taraf hai jalva-gar
jab se ye samjhā to hai aayā nazar
maz.har-e-ādam meñ terā hai zuhūr
tū hī dil hai aur tū jān-o-jigar
kaun pūchhe tujh se ai kāfir adā
kyuuñ phirātā hai mujhe tu dar-ba-dar
terī ulfat ke sanam haiñ do gavāh
dard-e-dil maujūd hai aur chashm-e-tar
shāh-e-ḳhādim ne tamāshe ko 'ḳhalīl'
mujh ko ā.īna banāyā dekh kar
be-KHabar dil mein tere kuchh hai asar
is taDapne ki hamare hai KHabar
teri surat har taraf hai jalwa-gar
jab se ye samjha to hai aaya nazar
mazhar-e-adam mein tera hai zuhur
tu hi dil hai aur tu jaan-o-jigar
kaun puchhe tujh se ai kafir ada
kyun phiraata hai mujhe tu dar-ba-dar
teri ulfat ke sanam hain do gawah
dard-e-dil maujud hai aur chashm-e-tar
shah-e-KHadim ne tamashe ko 'KHalil'
mujh ko aaina banaya dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.