hamin hindu hain hamin but hain musalman hain hamin
hamīñ hindū haiñ hamīñ but haiñ musalmāñ haiñ hamīñ
hamīñ kāfir haiñ hamīñ kufr haiñ īmāñ haiñ hamīñ
apnī hī sair kiyā karte haiñ har dam har aan
bāġh-o-bustāñ haiñ hamīñ koh-o-bayābāñ haiñ hamīñ
apnī hī shakl meñ paayā hai jise paayā hai
shakl-e-insāñ haiñ hamīñ sūrat-e-rahmān haiñ hamīñ
dilrubā.ī kā bhī hai taur hameñ se paidā
chashm-e-fattāñ haiñ hamīñ kākul-e-pechāñ haiñ hamīñ
ye jo sab shakleñ haiñ paidā so hamārī haiñ 'ḳhalīl'
tūr-e-sīnā haiñ hamīñ mūsā-e-'imrāñ haiñ hamīñ
hamin hindu hain hamin but hain musalman hain hamin
hamin kafir hain hamin kufr hain iman hain hamin
apni hi sair kiya karte hain har dam har aan
bagh-o-bustan hain hamin koh-o-bayaban hain hamin
apni hi shakl mein paya hai jise paya hai
shakl-e-insan hain hamin surat-e-rahman hain hamin
dilrubai ka bhi hai taur hamein se paida
chashm-e-fattan hain hamin kakul-e-pechan hain hamin
ye jo sab shaklen hain paida so hamari hain 'KHalil'
tur-e-sina hain hamin musa-e-'imran hain hamin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.