liya dil ek nigah mein dilrubai ho to aisi ho
liyā dil ik nigah meñ dilrubā.ī ho to aisī ho
chhuḌāyā qaid meñ tan se rihā.ī ho to aisī ho
sarāpā terī hī sūrat nabī haiñ is meñ kyā shak hai
kisī dil meñ tirī sūrat samā.ī ho to aisī ho
nazar koī nahīñ aatā sivā apnī hī sūrat ke
kisī ne gar mai-e-vahdat pilā.ī ho to aisī ho
shah ḳhādim kī sūrat meñ 'ḳhalīl' ahmad ko dekhā hai
kisī sūrat meñ ye sūrat samā.ī ho to aisī ho
liya dil ek nigah mein dilrubai ho to aisi ho
chhuDaya qaid mein tan se rihai ho to aisi ho
sarapa teri hi surat nabi hain is mein kya shak hai
kisi dil mein teri surat samai ho to aisi ho
nazar koi nahin aata siwa apni hi surat ke
kisi ne gar mai-e-wahdat pilai ho to aisi ho
shah KHadim ki surat mein 'KHalil' ahmad ko dekha hai
kisi surat mein ye surat samai ho to aisi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.