hum bhi us but ke talab-gar hain allah-allah
ham bhī us but ke talab-gār haiñ allāh-allāh
jis ke yūsuf se ḳharīdār haiñ allāh-allāh
us ke milne se hamārī bhī ye naubat pahuñchī
ham bhī ab qābil-e-dīdār haiñ allāh-allāh
pūchhte kyā ho haqīqat ko hamārī yaaro
ab to rusvā sar-e-bāzār haiñ allāh-allāh
kuchh ḳhabar ham ko nahīñ dair-o-haram kī zāhid
sakinān-e-dar-e-dildār haiñ allāh-allāh
martaba un kā bayāñ ho nahīñ saktā hai 'ḳhalīl'
shāh-e-ḳhādim ke jo sarshār haiñ allāh-allāh
hum bhi us but ke talab-gar hain allah-allah
jis ke yusuf se KHaridar hain allah-allah
us ke milne se hamari bhi ye naubat pahunchi
hum bhi ab qabil-e-didar hain allah-allah
puchhte kya ho haqiqat ko hamari yaro
ab to ruswa sar-e-bazar hain allah-allah
kuchh KHabar hum ko nahin dair-o-haram ki zahid
sakinan-e-dar-e-dildar hain allah-allah
martaba un ka bayan ho nahin sakta hai 'KHalil'
shah-e-KHadim ke jo sarshaar hain allah-allah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.