KHat ke le jaane ko wahan koi mayassar na hua
ḳhat ke le jaane ko vahāñ koī mayassar na huā
durr huā ashk sad-afsos kabūtar na huā
jalva-e-qudsī terī aaj chaman meñ barpā
sar pe kab sarv kī hañgāma-e-mahshar na huā
na.ara dil se chalā ho kī judā laḳht-e-jigar
ruḳhsat ai vaa.e birādar se birādar na huā
kyuuñ na rashk aa.e gul-e-surḳh pe shabnam ko dekh
ki merā ashk terī kaan kā gauhar na huā
KHat ke le jaane ko wahan koi mayassar na hua
durr hua ashk sad-afsos kabutar na hua
jalwa-e-qudsi teri aaj chaman mein barpa
sar pe kab sarw ki hangama-e-mahshar na hua
nara dil se chala ho ki juda laKHt-e-jigar
ruKHsat ai wae biradar se biradar na hua
kyun na rashk aae gul-e-surKH pe shabnam ko dekh
ki mera ashk teri kan ka gauhar na hua
- Book : Intikhab-e-Kulliyat-e-Shah Naseer, Edited: Hafiz Mohammad Akbar (Pg. 14)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Aalaa Pres Merath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.