KHayal-e-shab-e-gham se ghabra rahe hain
ḳhayāl-e-shab-e-ġham se ghabrā rahe haiñ
hameñ din ko taare nazar aa rahe haiñ
vo kuchh ġhair se va.ada farmā rahe haiñ
mare sar kī jhūTī qasam khā rahe haiñ
ye haiñ shoḳhiyāñ apnī tasvīr de kar
shab-e-va.ada vo ham ko bahlā rahe haiñ
na uftād kuchh pesh aa.e ilāhī
zarā ham chaman kī havā khā rahe haiñ
uThā.eñ na fitna ye mahshar meñ koī
hasīñ be-chhue-chheḌe jhuñjhlā rahe haiñ
dam-e-va.az kaise maze meñ haiñ vaa.iz
bhare jaam kausar ke chhalkā rahe haiñ
ye insān ban jaa.eñ kuchh saath rah kar
farishtoñ ko ham raah par lā rahe haiñ
na luuñ rāh-e-mai-ḳhāna kis tarh vaa.iz
ye bādal jo sar par mare chhā rahe haiñ
chuneñge vo afshāñ sar-e-bām kab tak
shab-e-va.ada kyuuñ taare ginvā rahe haiñ
gale gal mileñge vo mīnā-e-mai se
jo piite hue aaj sharmā rahe haiñ
lagā do zarā haath apnī galī meñ
janāza liye dil kā ham jā rahe haiñ
ye uljhe haiñ rindoñ se kiyā shaiḳh sāhib
buḌhāpe meñ kyuuñ DāḌhī rañvā rahe haiñ
qayāmat bichhī jaatī hai har qadam par
ye kaun aa rahā hai vahī aa rahe haiñ
duā de rahā huuñ ye dīvāngī meñ
chuneñ phuul tinke jo chunvā rahe haiñ
kamar sīdhī karne zarā mai-kade meñ
asā Tekte kyā 'riyāz' aa he haiñ
KHayal-e-shab-e-gham se ghabra rahe hain
hamein din ko tare nazar aa rahe hain
wo kuchh ghair se wada farma rahe hain
mare sar ki jhuTi qasam kha rahe hain
ye hain shoKHiyan apni taswir de kar
shab-e-wada wo hum ko bahla rahe hain
na uftad kuchh pesh aae ilahi
zara hum chaman ki hawa kha rahe hain
uThaen na fitna ye mahshar mein koi
hasin be-chhue-chheDe jhunjhla rahe hain
dam-e-waz kaise maze mein hain waiz
bhare jam kausar ke chhalka rahe hain
ye insan ban jaen kuchh sath rah kar
farishton ko hum rah par la rahe hain
na lun rah-e-mai-KHana kis tarh waiz
ye baadal jo sar par mare chha rahe hain
chunenge wo afshan sar-e-baam kab tak
shab-e-wada kyun tare ginwa rahe hain
gale gal milenge wo mina-e-mai se
jo pite hue aaj sharma rahe hain
laga do zara hath apni gali mein
janaza liye dil ka hum ja rahe hain
ye uljhe hain rindon se kiya shaiKH sahib
buDhape mein kyun DaDhi ranwa rahe hain
qayamat bichhi jati hai har qadam par
ye kaun aa raha hai wahi aa rahe hain
dua de raha hun ye diwangi mein
chunen phul tinke jo chunwa rahe hain
kamar sidhi karne zara mai-kade mein
asa Tekte kya 'riyaz' aa he hain
- Book : Riyaaz-e-Rizwan (Pg. 312)
- Author : Riyaz Khairabadi
- Publication : Kitaab Manzil, Lahore (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.