Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHayal hai na tasawwur na mushahida hai na KHwab

Zaheen Shah Taji

KHayal hai na tasawwur na mushahida hai na KHwab

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    ḳhayāl hai na tasavvur mushāhida hai na ḳhvāb

    tarah tarah se uThātā huuñ apne ruḳh se naqāb

    uThī nigāh to har samt se uThe parde

    nazar hijāb meñ hai to jamāl zer-e-hijāb

    na.e maqām na.ī manzileñ na.ī rāheñ

    qadam qadam pe junūñ ke liye na.e ādāb

    nigāh-e-ishq haqīqat hai husn-e-’ālam

    matā-e-husn bahut jins-e-āshiqī kam-yāb

    zabān hai na bayāñ hai magar junūñ ke liye

    tirī adā.eñ takallum tirī nigāh ḳhitāb

    mirā pīr-e-muġhāñ fakHr-e-mai-kashāñ hai vahī

    jo kar sake ġham-e-hastī ko ġharq jām-e-sharāb

    vo ḳhaam hai jo talab-gār jaam hai saaqī

    tirī nazar hai hameñ to musabbab-ul-asbāb

    ham un ko dekhne vaale haiñ ham ko dekh zahīn

    kabhī ye ham ne na dekhā ye lutf hai ki itaab

    KHayal hai na tasawwur mushahida hai na KHwab

    tarah tarah se uThata hun apne ruKH se naqab

    uThi nigah to har samt se uThe parde

    nazar hijab mein hai to jamal zer-e-hijab

    nae maqam nai manzilen nai rahen

    qadam qadam pe junun ke liye nae aadab

    nigah-e-ishq haqiqat hai husn-e-’alam ki

    mata-e-husn bahut jins-e-ashiqi kam-yab

    zaban hai na bayan hai magar junun ke liye

    teri adaen takallum teri nigah KHitab

    mera pir-e-mughan fakHr-e-mai-kashan hai wahi

    jo kar sake gham-e-hasti ko gharq jam-e-sharab

    wo KHam hai jo talab-gar jam hai saqi

    teri nazar hai hamein to musabbab-ul-asbab

    hum un ko dekhne wale hain hum ko dekh zahin

    kabhi ye hum ne na dekha ye lutf hai ki itab

    Source :
    • Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 56)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now