KHirad ko ahl-e-junun zer-e-dam karne lage
ḳhirad ko ahl-e-junūñ zer-e-dām karne lage
amīr-e-shahr kī nīndeñ harām karne lage
panāh māñgeñ na kyuuñ us se tīr-o-nashtar bhī
koī zabāñ se agar qatl-e-ām karne lage
jo yaad aaga.ī ham ko rasūl kī sīrat
to dushmanoñ ko bhī baḌh kar salām karne lage
ye ibtidā to nahīñ merī āzmā.ish kī
bahut se log mirā ehtirām karne lage
jo samjhe jaate the bāzār ke baḌe tājir
vo dūsroñ kī dukānoñ meñ kaam karne lage
tire darīche meñ sūraj kī sub.h hone lagī
tirī galī meñ sitāre bhī shaam karne lage
zamīñ kā qaht hai shahroñ meñ is liye 'akbar'
nigāh-e-yār meñ ab ham qiyām karne lage
KHirad ko ahl-e-junun zer-e-dam karne lage
amīr-e-shahr ki ninden haram karne lage
panah mangen na kyun us se tir-o-nashtar bhi
koi zaban se agar qatl-e-am karne lage
jo yaad aagai hum ko rasul ki sirat
to dushmanon ko bhi baDh kar salam karne lage
ye ibtida to nahin meri aazmaish ki
bahut se log mera ehtiram karne lage
jo samjhe jate the bazar ke baDe tajir
wo dusron ki dukanon mein kaam karne lage
tere dariche mein suraj ki subh hone lagi
teri gali mein sitare bhi sham karne lage
zamin ka qaht hai shahron mein is liye 'akbar'
nigah-e-yar mein ab hum qiyam karne lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.