jaan se jaun main dard itna baDhate bhi nahin
jaan se jā.ūñ maiñ dard itnā baḌhāte bhī nahīñ
dārū-e-dard jo pūchhūñ to batāte bhī nahīñ
kyā se kyā ho ga.ī sūrat unheñ ma.alūm bhī nahīñ
chāra-gar haiñ ki lagī dil kī bujhāte bhī nahīñ
merī bar-gashta nasībī kā burā ho yārab
kashish-e-ishq bhī hai aur vo aate bhī nahīñ
sādgī se jo na leñ phuul samajh kar un ko
gul-e-dāġh-e-jigar aisoñ ko dikhāte bhī nahii.
hañs ke vo pūchhte bhī haiñ mere rone kā sabab
aur burqā ruḳh-e-raushan se uThāte bhī nahīñ
zabt meñ jaan kā Dar aah meñ rusvā.ī kā
ab to kahte bhī nahīñ bantī chhupāte bhī nahīñ
in kī harjā.ī bhī mash.hūr zamāne meñ hai
aur naqsh-e-qadam un kā kahīñ paate bhī nahīñ
kyā ḳhabar thī ki vo but dushman-e-īmāñ hogā
aise kāfir se kahīñ dil to lagāte bhī nahīñ
kabhī ḳhāmosh bhī haiñ 'ḳhizar' kabhī nālāñ bhī
aur dil par jo guzartī hai batāte bhī nahīñ
jaan se jaun main dard itna baDhate bhi nahin
daru-e-dard jo puchhun to batate bhi nahin
kya se kya ho gai surat unhen malum bhi nahin
chaara-gar hain ki lagi dil ki bujhate bhi nahin
meri bar-gashta nasibi ka bura ho yarab
kashish-e-ishq bhi hai aur wo aate bhi nahin
sadgi se jo na len phul samajh kar un ko
gul-e-dagh-e-jigar aison ko dikhate bhi nahi
hans ke wo puchhte bhi hain mere rone ka sabab
aur burqa ruKH-e-raushan se uThate bhi nahin
zabt mein jaan ka Dar aah mein ruswai ka
ab to kahte bhi nahin banti chhupate bhi nahin
in ki harjai bhi mashhur zamane mein hai
aur naqsh-e-qadam un ka kahin pate bhi nahin
kya KHabar thi ki wo but dushman-e-iman hoga
aise kafir se kahin dil to lagate bhi nahin
kabhi KHamosh bhi hain 'KHizar' kabhi nalan bhi
aur dil par jo guzarti hai batate bhi nahin
- Book : Mah-e-Eid (Pg. 49)
- Author : Syed Ahmad Anwar
- Publication : Matba Ittihad, Bihar (1924)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.