āñkhoñ meñ namī aaī chehre pe malāl aayā
āñkhoñ meñ namī aa.ī chehre pe malāl aayā
ai jalva-e-mahbūbī jab terā ḳhayāl aayā
thā un kī tavajjoh meñ har jazb-e-talab merā
har chand mo.addab thī jab merā savāl aayā
is baat pe badlī hai bas chashm-e-karam un kī
ushshāq ke hoñToñ pe kyuuñ harf-e-savāl aayā
yā un ke hasīn abrū aa.e haiñ tasavvur meñ
yā mahfil-e-hastī meñ raḳhshanda hilāl aayā
ham sajda jahāñ kar leñ ka.aba vahīñ ban jaa.e
miT kar tirī ulfat meñ ham ko ye kamāl aayā
ab hashr-ba-dāmāñ hai har mahfil-e-tanhā.ī
tum aa.e to furqat kī azmat pe zavāl aayā
phir rañg-e-junūñ barsā phūloñ kī qabāoñ par
ye kaun gulistāñ meñ āshufta nihāl aayā
paiġhām-e-'fanā' laayā taskīn-e-dil-e-muztar
vo aa ga.e nazroñ meñ jab vaqt-e-visāl aayā
āñkhoñ meñ namī aaī chehre pe malāl aayā
ai jalwa-e-mahbūbī jab terā ḳhayāl aayā
thā un kī tawajjoh meñ har jazb-e-talab merā
har chand moaddab thī jab merā sawāl aayā
is baat pe badlī hai bas chashm-e-karam un kī
ushshāq ke hoñToñ pe kyuñ harf-e-sawāl aayā
yā un ke hasīn abrū aae haiñ tasawwur meñ
yā mahfil-e-hastī meñ raḳhshanda hilāl aayā
hum sajda jahāñ kar leñ kaba wahīñ ban jae
miT kar tirī ulfat meñ hum ko ye kamāl aayā
ab hashr-ba-dāmāñ hai har mahfil-e-tanhāī
tum aae to furqat kī azmat pe zawāl aayā
phir rañg-e-junūñ barsā phūloñ kī qabāoñ par
ye kaun gulistāñ meñ āshufta nihāl aayā
paiġhām-e-'fanā' layā taskīn-e-dil-e-muztar
wo aa gae nazroñ meñ jab waqt-e-wisāl aayā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.