KHud hi main saqi tha KHud mai-kash tha KHud hi jam tha
KHud hi main saqi tha KHud mai-kash tha KHud hi jam tha
Maikash Akbarabadi
MORE BYMaikash Akbarabadi
ḳhud hī maiñ saaqī thā ḳhud mai-kash thā ḳhud hī jaam thā
haaye vo din jab mire jalve the terā baam thā
merī kam-zarfī ki tere sāmne royā kiyā
rañj meñ bhī muskurāyā to ye terā kaam thā
dil kī barbādī meñ kuchh lazzat hī thī varna mujhe
aap se kyā kaam hogā aap se kyā kaam thā
terī ḳhāmoshī ne ḳhuddārī sikhā.ī hai mujhe
varna dard-e-'ishq sar se paañv tak paiġhām thā
aaj vo andāz bhī terā qayāmat hai mujhe
kal jo thā dil kī masarrat ruuh kā ārām thā
kis tarah is ghar ko ḳhālī dekhiye jis ghar meñ kal
aap the aur aap kā 'maikash' thā daur-e-jām thā
KHud hi main saqi tha KHud mai-kash tha KHud hi jam tha
haye wo din jab mere jalwe the tera baam tha
meri kam-zarfi ki tere samne roya kiya
ranj mein bhi muskuraya to ye tera kaam tha
dil ki barbaadi mein kuchh lazzat hi thi warna mujhe
aap se kya kaam hoga aap se kya kaam tha
teri KHamoshi ne KHuddari sikhai hai mujhe
warna dard-e-'ishq sar se panw tak paigham tha
aaj wo andaz bhi tera qayamat hai mujhe
kal jo tha dil ki masarrat ruh ka aaram tha
kis tarah is ghar ko KHali dekhiye jis ghar mein kal
aap the aur aap ka 'maikash' tha daur-e-jam tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.