KHud ko miTana gum ho jaana namwari se mushkil hai
KHud ko miTana gum ho jaana namwari se mushkil hai
Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
ḳhud ko miTānā gum ho jaanā nāmvarī se mushkil hai
darveshī āsān nahīñ hai tāj-varī se mushkil hai
jān-o-dil-o-dīn-o-darham kyā nām-e-ḳhudā kyā nām-e-rasūl
kisī pe sab kuchh qurbāñ karnā dariyā-dilī se mushkil hai
kufr-e-zāhir kufr-e-bātin kufr-e-qalb-o-kufr-e-haq
dīn-o-īmāñ zohd-o-’ibādat nīm-shabī se mushkil hai
but kī parastish kartā huuñ maiñ but kī parastish ai zāhid
but kī parastish zikr-e-ḳhudā kī dard-sarī se mushkil hai
vo bhī chup haiñ ham bhī chup haiñ dil kā taḳhātub dil se hai
dil kī bātoñ ko pā lenā jādūgarī se mushkil hai
jism kā resha resha machle dard-e-mohabbat faash kare
'ishq meñ 'kāvish' ḳhāmoshī to suḳhanvarī se mushkil hai
KHud ko miTana gum ho jaana namwari se mushkil hai
darweshi aasan nahin hai taj-wari se mushkil hai
jaan-o-dil-o-din-o-darham kya nam-e-KHuda kya nam-e-rasul
kisi pe sab kuchh qurban karna dariya-dili se mushkil hai
kufr-e-zahir kufr-e-baatin kufr-e-qalb-o-kufr-e-haq
din-o-iman zohd-o-’ibaadat nim-shabi se mushkil hai
but ki parastish karta hun main but ki parastish ai zahid
but ki parastish zikr-e-KHuda ki dard-sari se mushkil hai
wo bhi chup hain hum bhi chup hain dil ka taKHatub dil se hai
dil ki baaton ko pa lena jadugari se mushkil hai
jism ka resha resha machle dard-e-mohabbat fash kare
'ishq mein 'kawish' KHamoshi to suKHanwari se mushkil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.