Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

KHuda ki rah mein qurban ki hai zindagi maine

Zaheen Shah Taji

KHuda ki rah mein qurban ki hai zindagi maine

Zaheen Shah Taji

MORE BYZaheen Shah Taji

    ḳhudā raah meñ qurbān hai zindagī maiñ ne

    ye vo ġham hai ke is ġham par luTā.ī har ḳhushī maiñ ne

    havāoñ meñ jalāyā hai charāġh-e-zindagī maiñ ne

    charāġh-e-zindagī ko dil se hai raushnī maiñ ne

    abhī khīñchne na paa.ī thī ke sahbā taak maiñ ne

    koī piine na paayā thā ki aur ḳhuub maiñ ne

    vahī tashbīh ne vahī tashbīh maiñ ne

    rahegā zaat meñ kyā jab sifat chhīn maiñ ne

    samajhtā huuñ tujhe dekhā tujhe puujā ḳhabar kyā thī

    tire ā.īne meñ apnī sūrat dekh maiñ ne

    mere maslak meñ ḳhud ko bhūlnā haq ko bhulānā hai

    ḳhudā daanī ko paayā mānī-e-kHud-āgahī maiñ ne

    mire pesh-e-nazar ā.īna-ḳhāne haqīqat hai

    hazāroñ aur lākhoñ meñ bhī dekhā ek maiñ ne

    ye aks-o-ā.īna zī-sūrat-o-sūrat vahdat bhī

    samajhne aur samjhāne bāteñ jo haiñ maiñ ne

    harīm-e-kibriyā meñ bāryābī un ko kyā hogī

    harīm-e-dil meñ dekhī hai diloñ nārasī maiñ ne

    KHuda ki rah mein qurban ki hai zindagi main ne

    ye wo gham hai ke is gham par luTai har KHushi main ne

    hawaon mein jalaya hai charagh-e-zindagi main ne

    charagh-e-zindagi ko dil se di hai raushni main ne

    abhi khinchne na pai thi ke sahba tak li main ne

    koi pine na paya tha ki pi aur KHub pi main ne

    wahi tashbih di tu ne wahi tashbih di main ne

    rahega zat mein kya jab sifat hi chhin li main ne

    samajhta hun tujhe dekha tujhe puja KHabar kya thi

    tere aaine mein apni hi surat dekh li main ne

    mere maslak mein KHud ko bhulna haq ko bhulana hai

    KHuda dani ko paya mani-e-kHud-agahi main ne

    mere pesh-e-nazar aaina-KHane ki haqiqat hai

    hazaron aur lakhon mein bhi dekha ek hi main ne

    ye aks-o-aina zi-surat-o-surat ki wahdat bhi

    samajhne aur samjhane ki baaten jo hain ki main ne

    harim-e-kibriya mein baryabi un ko kya hogi

    harim-e-dil mein dekhi hai dilon ki narasi main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now