KHubi-e-chashm-e-pir ko mera salam hai
ḳhūbī-e-chashm-e-pīr ko merā salām hai
un ke sivā sharāb kā piinā harām hai
nazroñ kī shoḳhiyoñ se hī maḳhmūr shaam hai
be-shak ye mai-kada tirī āñkhoñ kā naam hai
lo aa gayā hai bazm meñ gardish kā vaqt bhī
pesh-e-nigāh-e-riñd ab un kā imaam hai
mil ne lagā hai pīr-e-muġhān-e-jahāñ se jaam
tab hī to mai-kade meñ ajī dhuum dhaam hai
uftād dām-e-nafs huuñ mujh ko bachā.iye
dast-e-karam meñ aap ke merī lagām hai
kis vāste ko ġhair kī jānib uThe nazar
merī talab ko bas dar-e-jānāñ se kaam hai
qadmoñ ko mere baḳhsh de kho.e sabāt tū
terī nazar kā do-jahāñ meñ faiz-e-’ām hai
rindoñ ke biich meñ bhī mirā naam ho gayā
saaqī kā jab se lutf mire gaam gaam hai
roz-e-alast terā giraftār meñ huā
zulfoñ kā daam hai tirī zulfoñ kā daam hai
ab har nafs 'asar' ko tirī aarzū rahe
us ko pilā de sāqiyā ye tishna kaam hai
KHubi-e-chashm-e-pir ko mera salam hai
un ke siwa sharab ka pina haram hai
nazron ki shoKHiyon se hi maKHmur sham hai
be-shak ye mai-kada teri aankhon ka nam hai
lo aa gaya hai bazm mein gardish ka waqt bhi
pesh-e-nigah-e-rind ab un ka imam hai
mil ne laga hai pir-e-mughan-e-jahan se jam
tab hi to mai-kade mein aji dhum dham hai
uftad dam-e-nafs hun mujh ko bachaiye
dast-e-karam mein aap ke meri lagam hai
kis waste ko ghair ki jaanib uThe nazar
meri talab ko bas dar-e-jaanan se kaam hai
qadmon ko mere baKHsh de khoe sabaat tu
teri nazar ka do-jahan mein faiz-e-’am hai
rindon ke bich mein bhi mera nam ho gaya
saqi ka jab se lutf mere gam gam hai
roz-e-alast tera giraftar mein hua
zulfon ka dam hai teri zulfon ka dam hai
ab har nafs 'asar' ko teri aarzu rahe
us ko pila de saqiya ye tishna kaam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.