na ghabrana dil-e-mahjur tariki se turbat ki
na ghabrana dil-e-mahjur tariki se turbat ki
Khwaja Aasif Hussain
MORE BYKhwaja Aasif Hussain
na ghabrānā dil-e-mahjūr tārīkī se turbat kī
are nādāñ haqīqat meñ vahī hai raat vaslat kī
bujhā dī sham-e-sarsar ne jo mujh be-kas ke turbat kī
ye shoḳhī to na thī us ātishīñ-rū kī sharārat kī
kabhī naala zabāñ par hai kabhī āh-o-fuġhāñ lab par
ilāhī ḳhair karnā us dil-e-bīmār ulfat kī
yahī kah kah ke ye pīr-e-falak barbād karatā hai
nishānī kyuuñ rahe baaqī kisī bekas kī turbat kī
laboñ tak ā-ga.ī hai jaan tum kaise masīhā ho
ḳhabar lete nahīñ allāh bīmār-e-mohabbat kī
guzar terā huā hai aaj shāyad us ke kūcha meñ
sabā ḳhushbū nahīñ be-vaj.h gulhā-e-musarrat kī
kareñ ābād vo ghar ġhair kā har rose jā jā kar
yahāñ tak haaye pahūñchī ab ḳharābī merī qismat kī
agar de koī dil apnā to ḳhud sar kaaT kar rakh de
ye hai qānūn-e-ulfat meñ sazā jurm-e-mohabbat kī
butoñ se dil lagā ke ab to ye hālat huī 'āsif'
ki ġhash aatā hai mujh ko dekh kar sūrat mohabbat kī
na ghabrana dil-e-mahjur tariki se turbat ki
are nadan haqiqat mein wahi hai raat waslat ki
bujha di sham-e-sarsar ne jo mujh be-kas ke turbat ki
ye shoKHi to na thi us aatishin-ru ki shararat ki
kabhi nala zaban par hai kabhi aah-o-fughan lab par
ilahi KHair karna us dil-e-bimar ulfat ki
yahi kah kah ke ye pir-e-falak barbaad karata hai
nishani kyun rahe baqi kisi bekas ki turbat ki
labon tak aa-gai hai jaan tum kaise masiha ho
KHabar lete nahin allah bimar-e-mohabbat ki
guzar tera hua hai aaj shayad us ke kucha mein
saba KHushbu nahin be-wajh gulha-e-musarrat ki
karen aabaad wo ghar ghair ka har rose ja ja kar
yahan tak haye pahunchi ab KHarabi meri qismat ki
agar de koi dil apna to KHud sar kaT kar rakh de
ye hai qanun-e-ulfat mein saza jurm-e-mohabbat ki
buton se dil laga ke ab to ye haalat hui 'asif'
ki ghash aata hai mujh ko dekh kar surat mohabbat ki
- Book : Mah-e-Eid (Pg. 14)
- Author : Syed Ahmad Anwar
- Publication : Matba Ittihad, Bihar (1924)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.