karam ke bharose jo mai-KHwariyan hain
karam ke bharose jo mai-KHwariyan hain
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
karam ke bharose jo mai-ḳhvāriyāñ haiñ
vo mai-ḳhvāriyāñ kyā niko-kāriyāñ haiñ
na lo nām-e-ulfat jo ḳhuddāriyāñ haiñ
bahut zillateñ haiñ baḌī ḳhvāriyāñ haiñ
jo āsān samjho to hai 'ishq āsāñ
jo dushvār kar lo to dushvāriyāñ haiñ
kisī ko kisī se kisī ko kisī se
hameñ apnī hastī se bezāriyāñ haiñ
hamīñ jab na phailā.eñ dāman mile kyā
udhar se to har dam guhar-bāriyāñ haiñ
na ghabrā koī dil meñ ghar kar rahā hai
mubārak kisī kī dil-āzāriyāñ haiñ
nikammā huā maiñ to 'majzūb' kyā ġham
baḌī kār-āmad ye be-kāriyāñ haiñ
karam ke bharose jo mai-KHwariyan hain
wo mai-KHwariyan kya niko-kariyan hain
na lo nam-e-ulfat jo KHuddariyan hain
bahut zillaten hain baDi KHwariyan hain
jo aasan samjho to hai 'ishq aasan
jo dushwar kar lo to dushwariyan hain
kisi ko kisi se kisi ko kisi se
hamein apni hasti se bezariyan hain
hamin jab na phailaen daman mile kya
udhar se to har dam guhar-bariyan hain
na ghabra koi dil mein ghar kar raha hai
mubarak kisi ki dil-azariyan hain
nikamma hua main to 'majzub' kya gham
baDi kar-amad ye be-kariyan hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.