ye kya hai tere hote afsurda hai mai-KHana
ye kya hai tere hote afsurda hai mai-KHana
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
ye kyā hai tire hote afsurda hai mai-ḳhāna
haañ ai dil-e-dīvāna ik nā’ara-e-mastāna
kahtā huā phirtā hai mahshar meñ ye dīvāna
yārab mirā vīrāna yārab mirā vīrāna
hai āmad-o-raft apnī us bazm meñ rozāna
ik dar dar-e-tauba hai ik dar dar-e-mai-ḳhāna
itnī to pilā saaqī ab is se bhī kyā kam ho
labrez to ho jaa.e ye 'umr kā paimāna
saaqī ne badal Daalī duniyā mirī hastī kī
āñkheñ haiñ ki maiḳhāne dil hai ki parī-ḳhāna
de taav na ab itnā kar aañch zarā halkī
tezī pe hai mai saaqī aḌ jaa.e na mai-ḳhāna
'majzūb' ko jab dekhā mahfil kī taraf aate
ghabrā ke pukār uThe dīvāna hai dīvāna
ye kya hai tere hote afsurda hai mai-KHana
han ai dil-e-diwana ek na’ara-e-mastana
kahta hua phirta hai mahshar mein ye diwana
yarab mera virana yarab mera virana
hai aamad-o-raft apni us bazm mein rozana
ek dar dar-e-tauba hai ek dar dar-e-mai-KHana
itni to pila saqi ab is se bhi kya kam ho
labrez to ho jae ye 'umr ka paimana
saqi ne badal Dali duniya meri hasti ki
aankhen hain ki maiKHane dil hai ki pari-KHana
de taw na ab itna kar aanch zara halki
tezi pe hai mai saqi aD jae na mai-KHana
'majzub' ko jab dekha mahfil ki taraf aate
ghabra ke pukar uThe diwana hai diwana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.