yun nazar to mujh pe Dali jaegi
yun nazar to mujh pe Dali jaegi
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
yuuñ nazar to mujh pe Daalī jā.egī
jab maiñ dekhūñgā haTā lī jā.egī
yuuñ nazar 'āshiq pe Daalī jā.egī
dekh kar gardan jhukā lī jā.egī
haa.e aise meñ to ai saaqī kahāñ
kyā bharī barsāt ḳhālī jā.egī
aa.egā gar bazm-e-mai meñ mohtasib
aur ik botal mañgā lī jā.egī
ġhair kī māneñge be-chūñ-charā
maiñ kahūñgā fī nikālī jā.egī
aa rahā hai jhūmtā vo mast-e-nāz
ab tabī'at kyā sambhālī jā.egī
yun nazar to mujh pe Dali jaegi
jab main dekhunga haTa li jaegi
yun nazar 'ashiq pe Dali jaegi
dekh kar gardan jhuka li jaegi
hae aise mein to ai saqi kahan
kya bhari barsat KHali jaegi
aaega gar bazm-e-mai mein mohtasib
aur ek botal manga li jaegi
ghair ki manenge be-chun-chara
main kahunga fi nikali jaegi
aa raha hai jhumta wo mast-e-naz
ab tabi'at kya sambhaali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.