Sufinama

haqiqat mein to mai-KHana jabhi mai-KHana hota hai

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

haqiqat mein to mai-KHana jabhi mai-KHana hota hai

Khwaja Azizul Hasan Majzoob

MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob

    haqīqat meñ to mai-ḳhāna jabhī mai-ḳhāna hotā hai

    tire dast-e-karam meñ jab kabhī paimāna hotā hai

    nayā tauba-shikan jab dāḳhil-e-mai-kHāna hotā hai

    na pūchho phir jo rañg-e-mahfil-e-rindāna hotā hai

    ba-zāhir dekhne meñ hotī hai saj-dhaj faqīrāna

    dimāġh un ke gadāoñ magar shāhāna hotā hai

    idhar laḌtī haiñ nazreñ dil udhar aapas meñ milte haiñ

    hasīnoñ se 'ajab andāz par yārāna hotā hai

    bahār aa.ī baḌhā saudā ḳhizāñ aa.ī baḌhī vahshat

    jo hotā hai ba-pās-e-ḳhātir-e-dīvāna hotā hai

    qiyāmat hai tire 'majzūb' majnūn ho jaanā

    vo jab dīvāna hotā hai ġhazab dīvāna hotā hai

    haqiqat mein to mai-KHana jabhi mai-KHana hota hai

    tere dast-e-karam mein jab kabhi paimana hota hai

    naya tauba-shikan jab daKHil-e-mai-kHana hota hai

    na puchho phir jo rang-e-mahfil-e-rindana hota hai

    ba-zahir dekhne mein hoti hai saj-dhaj faqirana

    dimagh un ke gadaon ka magar shahana hota hai

    idhar laDti hain nazren dil udhar aapas mein milte hain

    hasinon se 'ajab andaz par yarana hota hai

    bahaar aai baDha sauda KHizan aai baDhi wahshat

    jo hota hai ba-pas-e-KHatir-e-diwana hota hai

    qiyamat hai tere 'majzub' ka majnun ho jaana

    wo jab diwana hota hai ghazab diwana hota hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now