har har ada buton ki hai qatil bara-e-dil
har har ada buton ki hai qatil bara-e-dil
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
har har adā butoñ kī hai qātil barā-e-dil
āḳhir koī bachā.e to kyūñkar bachā.e dil
rahne do chup mujhe na suno mājrā-e-dil
maiñ hāl-e-dil kahūñ to abhī muñh ko aa.e dil
kab tak ye haa.e haa.e jigar haa.e haa.e dil
kar rahm ai ḳhudā-e-jigar ai ḳhudā-e-dil
'majzūb' ab kisī se bhalā kyā lagā.e dil
dil āshnā-e-dard hai dard āshnā-e-dil
hotā huuñ mahv-e-lazzat-e-dīd-e-fazā-e-dil
bāġh-o-bahār ziist haiñ ye dāġh-hā-e-dil
'majzūb' tū bhī ġhair ḳhudā se lagā.e dil
'ishq-e-butāñ hai banda-e-haq nā-sazā-e-dil
'majzūb' ab kisī se na yā-rab lagā.e dil
paa.e to terī yaad se bas chain paa.e dil
un gul-ruḳhoñ ke rañg pe hargiz na jaa.e dil
jhūTe ye phuul haiñ kahīñ dhokā na khaa.e dil
dam-bhar qarār lene nahīñ detā haa.e dil
kaisī ye paḌ ga.ī hai mire sar balā.e dil
ik sail-e-be-panāh hai har iqtizā-e-dil
aisā bhī koī haa.e na paa.e jo paa.e dil
itnā na hogā koī bhī sabr-āzmā-e-dil
sab se lagā.e tum se na koī lagā.e dil
ab ho chukī hai jurm se zaa.id sazā-e-dil
jaane do bas mu'āf bhī kar do kHatā-e-dil
do lafzoñ hī meñ kah diyā sab mājrā-e-dil
ḳhāmosh ho gayā ho koī kah ke hā-e-dil
kab tak rahūñ maiñ haa.e kashākash meñ mubtalā
qaabū 'atā ho dil pe bas ab ai ḳhudā-e-dil
dil jins-e-be-bahā hai magar tere vāste
bas ik nigāh-e-lutf hai ai jaañ bahā-e-dil
muddat se mere parda-nashīñ tere vāste
ḳhālī kiye hue huuñ maiñ ḳhalvat-sarā-e-dil
ai dard aaj qissa hī kar de tamām tū
kab tak ye roz-roz ke sadme uThā.e dil
paidā kiyā thā tū ne butoñ ko jo ai ḳhudā
rakh detā mere siine meñ patthar bajā.e dil
us shoḳh dilrubā kī DhiTā.ī to dekhiye
apne banā liye haiñ hazāroñ parā.e dil
uff kis balā kā husn hai kaisā siñgār hai
ā.īna dekhte ho kahīñ aa na jaa.e dil
'majzūb'-e-mast se tujhe nisbat hī shaiḳh kyā
tū pārsā-e-vaz' hai vo pārsā-e-dil
har har ada buton ki hai qatil bara-e-dil
aaKHir koi bachae to kyunkar bachae dil
rahne do chup mujhe na suno majra-e-dil
main haal-e-dil kahun to abhi munh ko aae dil
kab tak ye hae hae jigar hae hae dil
kar rahm ai KHuda-e-jigar ai KHuda-e-dil
'majzub' ab kisi se bhala kya lagae dil
dil aashna-e-dard hai dard aashna-e-dil
hota hun mahw-e-lazzat-e-did-e-faza-e-dil
bagh-o-bahaar zist hain ye dagh-ha-e-dil
'majzub' tu bhi ghair KHuda se lagae dil
'ishq-e-butan hai banda-e-haq na-saza-e-dil
'majzub' ab kisi se na ya-rab lagae dil
pae to teri yaad se bas chain pae dil
un gul-ruKHon ke rang pe hargiz na jae dil
jhuTe ye phul hain kahin dhoka na khae dil
dam-bhar qarar lene nahin deta hae dil
kaisi ye paD gai hai mere sar balae dil
ek sail-e-be-panah hai har iqtiza-e-dil
aisa bhi koi hae na pae jo pae dil
itna na hoga koi bhi sabr-azma-e-dil
sab se lagae tum se na koi lagae dil
ab ho chuki hai jurm se zaid saza-e-dil
jaane do bas mu'af bhi kar do kHata-e-dil
do lafzon hi mein kah diya sab majra-e-dil
KHamosh ho gaya ho koi kah ke ha-e-dil
kab tak rahun main hae kashakash mein mubtala
qabu 'ata ho dil pe bas ab ai KHuda-e-dil
dil jins-e-be-baha hai magar tere waste
bas ek nigah-e-lutf hai ai jaan baha-e-dil
muddat se mere parda-nashin tere waste
KHali kiye hue hun main KHalwat-sara-e-dil
ai dard aaj qissa hi kar de tamam tu
kab tak ye roz-roz ke sadme uThae dil
paida kiya tha tu ne buton ko jo ai KHuda
rakh deta mere sine mein patthar bajae dil
us shoKH dilruba ki DhiTai to dekhiye
apne bana liye hain hazaron parae dil
uff kis bala ka husn hai kaisa singar hai
aaina dekhte ho kahin aa na jae dil
'majzub'-e-mast se tujhe nisbat hi shaiKH kya
tu parsa-e-waz' hai wo parsa-e-dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.