mere samne lo na nam-e-mohabbat
mere samne lo na nam-e-mohabbat
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
mire sāmne lo na nām-e-mohabbat
chhalak jā.egā haa.e jām-e-mohabbat
Thahar yād-e-jānāñ Thahar mere dil meñ
yahī hai yahī hai maqām mohabbat
na ruk haa.e qāsid na ruk haa.e qāsid
kahe jā kahe jā payām-e-mohabbat
diloñ meñ kudūrat nahīñ mai-kashoñ ke
ye hai jām-e-mai yā hai jām-e-mohabbat
havas kar na mun'im kahāñ terī qismat
muqaddar se miltā hai jām-e-mohabbat
ḳhudā hī agar de to daulat mile ye
kareñ laakh ham ehtimām-e-mohabbat
na 'majzūb' sā koī duniyā meñ dekhā
tamām-e-junūn-o-tamām-e-mohabbat
mere samne lo na nam-e-mohabbat
chhalak jaega hae jam-e-mohabbat
Thahar yaad-e-jaanan Thahar mere dil mein
yahi hai yahi hai maqam mohabbat
na ruk hae qasid na ruk hae qasid
kahe ja kahe ja payam-e-mohabbat
dilon mein kudurat nahin mai-kashon ke
ye hai jam-e-mai ya hai jam-e-mohabbat
hawas kar na mun'im kahan teri qismat
muqaddar se milta hai jam-e-mohabbat
KHuda hi agar de to daulat mile ye
karen lakh hum ehtimam-e-mohabbat
na 'majzub' sa koi duniya mein dekha
tamam-e-junun-o-tamam-e-mohabbat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.