uTh jae abhi kaam len himmat se agar hum
uTh jae abhi kaam len himmat se agar hum
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
uTh jaa.e abhī kaam leñ himmat se agar ham
ik yuuñ hī sā parda hai idhar vo haiñ udhar ham
vo sub.h ko ā.eñge ye sunte haiñ ḳhabar ham
ham bhī unheñ dekheñge jo dekheñ sahar ham
sau baar kiyā 'ahd na jā.eñge udhar ham
phir shauq se ho ho ga.e majbūr magar ham
dam bhar to bhalā koī hameñ jī ke dikhā de
kar laa.e haiñ jis haal meñ ik 'umr basar ham
ab shuġhl hai din raat tavāf-e-kū-e-jānāñ
manzil pe pahuñch kar bhī haiñ mashġhūl-e-safar ham
mahrūm dar-e-faiz se koī nahīñ jaatā
aa.e haiñ bahut duur se ye sun ke ḳhabar ham
sālik hameñ rakhnā nahīñ manzūr unhīñ ko
phir ho ga.e 'majzūb' milāte hī nazar ham
uTh jae abhi kaam len himmat se agar hum
ek yun hi sa parda hai idhar wo hain udhar hum
wo subh ko aaenge ye sunte hain KHabar hum
hum bhi unhen dekhenge jo dekhen sahar hum
sau bar kiya 'ahd na jaenge udhar hum
phir shauq se ho ho gae majbur magar hum
dam bhar to bhala koi hamein ji ke dikha de
kar lae hain jis haal mein ek 'umr basar hum
ab shughl hai din raat tawaf-e-ku-e-jaanan
manzil pe pahunch kar bhi hain mashghul-e-safar hum
mahrum dar-e-faiz se koi nahin jata
aae hain bahut dur se ye sun ke KHabar hum
salik hamein rakhna nahin manzur unhin ko
phir ho gae 'majzub' milate hi nazar hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.