bas ab ek hi aashna chahta hun
bas ab ek hi aashna chahta hun
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
bas ab ek hī āshnā chāhtā huuñ
haTo dosto rāsta chāhtā huuñ
tire 'ishq meñ aur kyā chāhtā huuñ
razā chāhtā huuñ razā chāhtā huuñ
maiñ us be-vafā se vafā chāhtā huuñ
mujhe dekhiye kis se kyā chāhtā huuñ
razā terī hāsil ho kaun-o-makāñ meñ
yahī ab to bas ai ḳhudā chāhtā huuñ
idhar se ho shauq aur udhar se kashish ho
maiñ be-dast-o-pā dast-o-pā chāhtā huuñ
karam ke bharose meñ kitnā jari huuñ
ḳhatā kar ke un se 'atā chāhtā huuñ
rahūñ maiñ na 'majzūb' ban jā۔ūñ sālik
ye taufīq ab ai ḳhudā chāhtā huuñ
bas ab ek hi aashna chahta hun
haTo dosto rasta chahta hun
tere 'ishq mein aur kya chahta hun
raza chahta hun raza chahta hun
main us be-wafa se wafa chahta hun
mujhe dekhiye kis se kya chahta hun
raza teri hasil ho kaun-o-makan mein
yahi ab to bas ai KHuda chahta hun
idhar se ho shauq aur udhar se kashish ho
main be-dast-o-pa dast-o-pa chahta hun
karam ke bharose mein kitna jari hun
KHata kar ke un se 'ata chahta hun
rahun main na 'majzub' ban ja۔un salik
ye taufiq ab ai KHuda chahta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.