jab kisi se lau laga li jaegi
jab kisi se lau laga li jaegi
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
jab kisī se lau lagā lī jā.egī
tab ye āshufta ḳhayālī jā.egī
laakh ho bahr-e-mohabbat pur-ḳhatar
kashtī-e-dil us meñ Daalī jā.egī
jis ko tākūñgā nasheman ke liye
vo hī Daalī kaaT Daalī jā.egī
dāġh-e-dil chamkegā ban kar āftāb
laakh us par ḳhaak Daalī jā.egī
ham ġharīboñ ko diye jā.eñge daaġh
ġhair ko phūloñ kī Daalī jā.egī
sab tirā parda dharā rah jā.egā
jab zarā gardan jhukā lī jā.egī
shaiḳh piine kā irāda to kareñ
hauz-e-kausar se mañgā lī jā.egī
mastiyāñ 'majzūb' ab zebā nahīñ
vaq'at-e-pīrāna-sālī jā.egī
jab kisi se lau laga li jaegi
tab ye aashufta KHayali jaegi
lakh ho bahr-e-mohabbat pur-KHatar
kashti-e-dil us mein Dali jaegi
jis ko takunga nasheman ke liye
wo hi Dali kaT Dali jaegi
dagh-e-dil chamkega ban kar aaftab
lakh us par KHak Dali jaegi
hum gharibon ko diye jaenge dagh
ghair ko phulon ki Dali jaegi
sab tera parda dhara rah jaega
jab zara gardan jhuka li jaegi
shaiKH pine ka irada to karen
hauz-e-kausar se manga li jaegi
mastiyan 'majzub' ab zeba nahin
waq'at-e-pirana-sali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.