kya karun ya-rab kidhar ja۔un kashakash dil mein hai
kya karun ya-rab kidhar ja۔un kashakash dil mein hai
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
kyā karūñ yā-rab kidhar jā۔ūñ kashākash dil meñ hai
ik kashish girdāb meñ hai ik kashish sāhil meñ hai
ek se hai ek baḌh kar go tamannā dil-fareb
kyā tamannā ab ho jān-e-har-tamannā dil meñ hai
hosh kis ko hai yahāñ baiThe haiñ sab kho.e hue
koī kyā jaane kahāñ hai jo tirī mahfil meñ hai
qat’ rāh-e-'ishq ai rahrav kabhī mumkin nahīñ
ek safar hai tā-ba-manzil ik safar manzil meñ hai
yuuñ to hai aksar diloñ meñ āmad-o-raft aap kī
dekhnā lekin jo hai vo ye ki ghar kis dil meñ hai
saarī murda ārzūeñ phir se zinda ho ga.iiñ
jab se tum aa.e ho ik hashr-e-tamannā dil meñ hai
ghar pe rakh kar aa.e jitnī 'aql jis 'āqil meñ hai
soch kar rakhe qadam 'majzūb' is mahfil meñ hai
kya karun ya-rab kidhar ja۔un kashakash dil mein hai
ek kashish girdab mein hai ek kashish sahil mein hai
ek se hai ek baDh kar go tamanna dil-fareb
kya tamanna ab ho jaan-e-har-tamanna dil mein hai
hosh kis ko hai yahan baiThe hain sab khoe hue
koi kya jaane kahan hai jo teri mahfil mein hai
qat’ rah-e-'ishq ai rahraw kabhi mumkin nahin
ek safar hai ta-ba-manzil ek safar manzil mein hai
yun to hai aksar dilon mein aamad-o-raft aap ki
dekhna lekin jo hai wo ye ki ghar kis dil mein hai
sari murda aarzuen phir se zinda ho gain
jab se tum aae ho ek hashr-e-tamanna dil mein hai
ghar pe rakh kar aae jitni 'aql jis 'aqil mein hai
soch kar rakhe qadam 'majzub' is mahfil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.