hijab auron ko duniya-e-dani malum hoti hai
hijab auron ko duniya-e-dani malum hoti hai
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
hijāb auroñ ko duniyā-e-danī ma'alūm hotī hai
mujhe har sū tirī jalvagarī ma'alūm hotī hai
mizha tar haiñ na āñkhoñ meñ namī ma'alūm hotī hai
unheñ is dil ke rone par hañsī ma'alūm hotī hai
maiñ ronā apnā rotā huuñ to vo hañs hañs ke sunte haiñ
unhīñ dil kī lagī ik dal lagī ma’alūm hotī hai
mohabbat hai mohabbat phūñk Dālegī do-'ālam ko
ye chiñgārī sī jo dil meñ dabī ma’alūm hotī hai
ik aisā vaqt bhī aatā hai daurān mohabbat meñ
ki naġhma nauha aur shādī ġhamī ma’alūm hotī hai
jo maiñ din-rāt yuuñ gardan jhukā.e baiThā rahtā huuñ
tirī tasvīr sī dil meñ khiñchī ma’alūm hotī hai
magar 'majzūb' to mahv-e-ḳhayāl-e-zulf-e-pechāñ hai
tirī jo baat hai uljhī huī ma’alūm hotī hai
banā rakhī hai 'majzūb' apnī hālat kyuuñ ḳharāb aisī
tirī sūrat to ye achchhī bhalī ma'alūm hotī hai
hijab auron ko duniya-e-dani ma'alum hoti hai
mujhe har su teri jalwagari ma'alum hoti hai
mizha tar hain na aankhon mein nami ma'alum hoti hai
unhen is dil ke rone par hansi ma'alum hoti hai
main rona apna rota hun to wo hans hans ke sunte hain
unhin dil ki lagi ek dal lagi ma’alum hoti hai
mohabbat hai mohabbat phunk Dalegi do-'alam ko
ye chingari si jo dil mein dabi ma’alum hoti hai
ek aisa waqt bhi aata hai dauran mohabbat mein
ki naghma nauha aur shadi ghami ma’alum hoti hai
jo main din-raat yun gardan jhukae baiTha rahta hun
teri taswir si dil mein khinchi ma’alum hoti hai
magar 'majzub' to mahw-e-KHayal-e-zulf-e-pechan hai
teri jo baat hai uljhi hui ma’alum hoti hai
bana rakhi hai 'majzub' apni haalat kyun KHarab aisi
teri surat to ye achchhi bhali ma'alum hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.