abas kahta hai chaara-gar yahan tak tha yahan tak hai
abas kahta hai chaara-gar yahan tak tha yahan tak hai
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
'abas kahtā hai chāra-gar yahāñ tak thā yahāñ tak hai
vo kyā jaane ki zaḳhm-e-dil kahāñ tak thā kahāñ tak hai
na dhoka de mujhe hamdam vo aayā hai na aa.egā
payām-e-vā'da-vaslat zabāñ tak thā zabāñ tak hai
kaTī rote hī ab tak 'umr aage dekhiye kyā ho
batā.ūñ kyā ki dil meñ ġham kahāñ thā kahāñ tak hai
vahāñ tak qais kab pahuñchā vahāñ farhād kab aayā
bayābān-e-guzar apnā jahāñ tak thā jahāñ tak hai
mujhe to 'umr bhar ronā hai yaaro koī mausam ho
ye mat samjho mirā naala ḳhizāñ tak thā ḳhizāñ tak hai
mire hī dil tak aanā thā mire hī dil tak aanā hai
ḳhadañg-e-nāz kā palla yahāñ tak thā yahāñ tak hai
takalluf ye tirī ḳhāmoshiyāñ tujh ko miTā deñgī
zamāne meñ tirā charachā fuġhāñ tak thā fuġhāñ tak hai
'abas kahta hai chaara-gar yahan tak tha yahan tak hai
wo kya jaane ki zaKHm-e-dil kahan tak tha kahan tak hai
na dhoka de mujhe hamdam wo aaya hai na aaega
payam-e-wa'da-waslat zaban tak tha zaban tak hai
kaTi rote hi ab tak 'umr aage dekhiye kya ho
bataun kya ki dil mein gham kahan tha kahan tak hai
wahan tak qais kab pahuncha wahan farhad kab aaya
bayaban-e-guzar apna jahan tak tha jahan tak hai
mujhe to 'umr bhar rona hai yaro koi mausam ho
ye mat samjho mera nala KHizan tak tha KHizan tak hai
mere hi dil tak aana tha mere hi dil tak aana hai
KHadang-e-naz ka palla yahan tak tha yahan tak hai
takalluf ye teri KHamoshiyan tujh ko miTa dengi
zamane mein tera characha fughan tak tha fughan tak hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.