chamakne laga sar-ba-sar nur ho kar
chamakne laga sar-ba-sar nur ho kar
Khwaja Azizul Hasan Majzoob
MORE BYKhwaja Azizul Hasan Majzoob
chamakne lagā sar-ba-sar nuur ho kar
maiñ jal jaane vaalā nahīñ tuur ho kar
na paas aao itne chalo duur ho kar
maiñ kuchh aur kah duuñ na mansūr ho kar
na tarsāo har gaam par duur ho kar
koī haar baiThe na majbūr ho kar
ye kis ke liye jaan dene chalā huuñ
chalī aa rahī hai qazā huur ho kar
hadeñ 'ishq kī kar rahe haiñ vo qaa.im
kabhī paas aakar kabhī duur ho kar
na jiine se ḳhush huuñ na marnā ravā hai
ye jiine meñ jiinā hai majbūr ho kar
maiñ 'majzūb' huuñ jazb ulfat salāmat
bachoge kahāñ mujh se tum duur ho kar
chamakne laga sar-ba-sar nur ho kar
main jal jaane wala nahin tur ho kar
na pas aao itne chalo dur ho kar
main kuchh aur kah dun na mansur ho kar
na tarsao har gam par dur ho kar
koi haar baiThe na majbur ho kar
ye kis ke liye jaan dene chala hun
chali aa rahi hai qaza hur ho kar
haden 'ishq ki kar rahe hain wo qaim
kabhi pas aakar kabhi dur ho kar
na jine se KHush hun na marna rawa hai
ye jine mein jina hai majbur ho kar
main 'majzub' hun jazb ulfat salamat
bachoge kahan mujh se tum dur ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.